!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-09-2011, 10:39 PM
Zakham muskurate hain,ab bhi teri ahat per
dard bhool jate hain,ab bhi teri ahat per
shabnami sitaroon per phool kilne lagte hain
chand muskurate hain,ab bhi teri ahat per
omer kat de lakin bacpana nahi jata
hum deya jalate hain,ab bhi teri ahat per
ghatiyain se bajti hain raks hone lagta hai
dard jagmagate hain,ab bhi teri ahat per
teri yaad ayee tu need jati rehti hai
khawab toot jate hain,ab bhi teri ahat per
jo sitam kare aa kar sab qabul hai dil ko
hum khushi manate hain,ab bhi teri ahat per
ab bhi teri ahat per chand muskurata hai
khawab gungunate hain,ab bhi teri ahat per
tere hijer mein hum par ek azab tari hai
chonk chonk jate hain,ab bhi teri ahat per