Owi
02-08-2011, 08:02 PM
Aakhri hurf mohabbat ka raqam honay tak
Hum na chorein gay qalam, haath qalam honay tak
Hum pay wo haadsa guzray to bikher jaayein hum
Aik patther pay jo guzra hai sanum honay tak
Aaj aamaada-e-izhaar-e-wafa tha wo bhi
Main bhi hansta raha aankhein meri num honay tak
Zindagi meray mutaabiq to nahi hai phir bhi
Mujh ko jeena hai yahaan tera karam honay tak
Aik lamhay ko bhi tunha nahi rakha tu nay
Teray honay mein na-honay ka bharam honay tak.