Shaam
02-05-2011, 07:40 PM
dil h ijr ke dard sei bojhal hai ab aan milo tou behter hai
is baat sei humko kia matlab yah kaisey ho yeh kionker ho
ek bheek ke dono kaasay hain, ek pyaas ke dono pyaasey hain
hum kheti hain, tum badal ho, hum nadya hain, tum sagar ho
yeh dil hai ke jaltey seenei mei, ek dard ka phora alhar sa
na gupt rahey na phoot bahey, koi marham ho koi nashtar ho
hum saajh samay ki chaya hain, tum charhti raat ki chandarmaa
hum jatey hain tum atey ho phir meil ki soorat kionker ho
wo raatein chand ke sath gain wo baatein chand ke sath gain
ab sukh ke sapney dekhgein kia jab dukh ka sooraj sar par ho