Owi
02-05-2011, 07:01 PM
Khud apnay hi ehsaas mein jalnay k liye hai
Ye shamma to hoti hi pighalnay k liye hai
Hai tum mein jo suchaai to seenay say nikaalo
Khushboo hai to phoolon say nikalnay k liye hai
Ik jism hai jo taba-e-fermaan hai dil ka
Ik dil hai jo khuwaahish pay machalnay k liye hai
Hai zulf jo bikhri hui chehray say hata lo
Ye chaand ghataaon say nikalnay k liye hai
Ruknay ko bohat dair andhayray bhi nahi hein
Her din ki terhan raat bhi dhalnay k liye hai
Us shakhs say poocho zara lagzish ki lataafat
Jo shakhs k girta hi sambhalnay k liye hai.