Owi
02-04-2011, 05:56 PM
Faqeer qaabil-e-sadd ehtayraam hotay hein
Ye bay-muqaam hi aali muqaam hotay hein
Main jab bhi jaan k dushman shumaar kerta hoon
To meray lab pay azeezon k naam hotay hein
Kisi ki laash kafan k liye tarasti hai
Kisi ki mout pay so ehtaymaam hotay hein
Mileen jo aaj hamein fursatein to ye jaana
K fursaton mein baray kaam dhaam hotay hein
Hisaar-e-saber ki saari hadein tamaam hueen
Hum ab tumhaari terhan bay-nayaam hotay hein
Hamein zamaanay say kya ho gharaz k hum .....
Wo raastay nahi chuntay jo aam hotay hein.