Maharani
12-18-2008, 12:55 AM
koi chehra huwa roshan na ujaagar aankhen
aayena daikh rahi hen meri pathar aankhen
lay uri waqt ki aandhi jinhen saath apnay
aaj phir dhoond rahi hen wohi manzar aankhen
phoot niklein to kae shehr-e-tamanna doobay
ik qatray ko tarasti then jo banjar aankhen
us ko daikha hey to ab shooq ka wo aalam hey
apni had se bhi nikal aai hen baahir aankhen
tu nigaahon ki zubaan khoob samajhta hooga
teri jaanib to aksar utha kerti hen aankhen
loog martay na darr-o-baam se takra k kabhi
daikh laitay jo kabhi us ki samandar aankhen