Owi
02-03-2011, 03:19 PM
Aansoo'on ki roshni mein muskuraana chaahiye
Cashm-e-num ko ye hunar-mandi bhi aana chaahiye
Phool per shabnum ka manzer jab kabhi yaad aa gaya
Hum wahaan roye jahaan per muskuraana chaahiye
Doosron k ghum yahaan aa ker qayaamat ho gaye
Is derr-e-ehsaas say ab lout jaana chaahiye
Baa-khaber rakhna kisi ko ahtiyaat-e-jurm say
Dushmanon k saamnay to aana jaana chaahiye
Jab hansein to yun hansein hum saari duniya hans paray
Or ager royein to daaman bheeg jaana chaahiye
Hum say kuch bay-daad zehnon ko rujhaanay k liye
Ho koi lehjaa mager wo shaairaana chaahiye.