Maharani
12-17-2008, 09:09 PM
bezaar ho gaye the jo shayar hayaat se
cricket ka match khel liya shayaraat se
waaqif na the jo dosto'n aurat ki zaat se
chauke laga rahe the khayalo'n mein raat se
aayi jo subah shaam ke naqshe bigad gaye
aur surro'n se hum ghareebo'n ke stump ukhad gaye
naaz-o-ada-o-husn ne jadoo jaga diye
pehle to opener ke hi chhakke chuda diye
one down per jo aaye to stump uda diye
are! Raah-e-faraar ke bhi to raste bhula diye
go catch very low tha magar bedhadak liya
ek mohtaram ko ek ne gali mein lapak liya
kya kya bayaan kijiye ek ek ka baankpan
jalwa figan zamee'n pe thi taaro'n ki anjuman
husn-o-shabaab-o-ishq se bharpoor har badan
aur shayar pavellion mein the pehne hue kafan
jitni thi beautiful wo slip per gali mein thi
jitni thi over age wo sab boundary pe thi
pariyo'n ke jis tarah se pare koh-e-kaaf per
ek long-on per thi to ek long-off per
ek thi cover mein ek haseena mid-off per
jo short pitch thi geind wo aati thi naaf per
thehre na wo creeze per jo the bade bade
aur mujh jaise teem -taam to wicketo'n pe phat pade
wo laal geind phool ho jaise gulab ka
jis tarah dast-e-naaz mein saghar sharaab ka
saayaa hawa mein naachta tha aaftaab ka
bouncer mein sara zor tha husn-o-shabaab ka
aise bhi apne ishq ka maidaa'n banaate the
umpire her appeal pe ungli uthate the
jab ball phenkti thi wo gesu sanwaar ke
nazdeek aur hote the haalaat haar ke
aur kehte the match dekhne wale pukaar ke
ustaad ja rahe hain shab-e-gham guzaar ke
ustaad keh rahe the ke phitkaar match per
do-do jhapat rahi hain shareefo'n ke catch per