M A H i
01-29-2011, 03:44 PM
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengay
Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayengay
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengay
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na cherh
Cheenthay urey toh teri qabaa par bhi ayengay
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mein
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengay
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum tou tere ghar bhi ayengay
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengay…