(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
01-22-2011, 10:58 AM
Raah-e-haq kay musaafir par doran-e-safar
tangi bhi ati hay aur kushaadgi bhi
Tangi main Mard-e-haq sabar ka sahara leta hay
aur kushaadgi main shukar ka.
Yeh safar dariya ki tarah hay
jo paharon main sey simat kar guzarta hay.
Aur maidaano main phail kar kinaron
ko sairaab karta hua akhir kaar
apni manzil-e-maqsood yeani
Behr-e-bey paayaan sey mil jata hay.
Dariya bey dam ho kar toot-ta nahee
aur na hii raastey sey wapis loat-ta hay
Mardan-e-haq raah ki dushwaari sey mayoos
nahee hotey
Faqeer har takleef ko bardaasht karta hay
isliye kion kay woh jaanta hay
jis nay azm-e-safar ataa kia hay
usi nay hi takleef bhi bheji hay
Aur wohee manzil tak pohnchanay
wala hay.