Owi
01-20-2011, 08:34 PM
Jo tum nay ki hai fermaaish
K main tum per ghazal likhoon
To phir tum hi ye batlaao
K main kis cheez ko aakhir
Tera naim-ul-badal likhoon
Ye khushboo, phool, shabnum
Chaand, taaray, chaandni
Sooraj ki kirnein
Tittli, khuwaab,mosam, raat, baarish
Aarzoo, khuwaahish
Ye jitnay istay-aaray hein
Mujhay ye dil nahi lagtay
Teray qaabil nahi lagtay
Jo tum nay ki hai fermaaish
K main tum per ghazal likhoon
To phir ik kaam bhi ker do
Mujhay wo lafz bhi bhaijo
K jin mein meray jazbon ko
Bayaan kernay ki taaqat ho
Mujhay maaloom hai hum-dum
K tum maayoos to hogay
Mager main kya karoon hum-dum
Bohat hi khaas ho tum to
Or aisay aam lafzon mein
Tumhaari zaat ka koi badal
Main likh nahi sakta
Mujhay afsos hai humdum
K tum per ghazal main likh nahi sakta.
K main tum per ghazal likhoon
To phir tum hi ye batlaao
K main kis cheez ko aakhir
Tera naim-ul-badal likhoon
Ye khushboo, phool, shabnum
Chaand, taaray, chaandni
Sooraj ki kirnein
Tittli, khuwaab,mosam, raat, baarish
Aarzoo, khuwaahish
Ye jitnay istay-aaray hein
Mujhay ye dil nahi lagtay
Teray qaabil nahi lagtay
Jo tum nay ki hai fermaaish
K main tum per ghazal likhoon
To phir ik kaam bhi ker do
Mujhay wo lafz bhi bhaijo
K jin mein meray jazbon ko
Bayaan kernay ki taaqat ho
Mujhay maaloom hai hum-dum
K tum maayoos to hogay
Mager main kya karoon hum-dum
Bohat hi khaas ho tum to
Or aisay aam lafzon mein
Tumhaari zaat ka koi badal
Main likh nahi sakta
Mujhay afsos hai humdum
K tum per ghazal main likh nahi sakta.