Wish
08-19-2008, 12:32 AM
Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam ke baad
laut jata hai agar koi khafa shaam ke baad
Aahein bharta hai shab-e Hijar yateemon ki tarah
Sard ho jati hai har roz hawa shaam ke baad
Log thak haar k so jaate hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera dard saha shaam k baad
Khuwab takra ke palat jaatay hain band aankhon se
Jaane kiss jurm ki kiss ko hai saza shaam k baad
Hum ne tanhaai se pooccha k milo gi kab tak
uss ne bay chaini se forun yeh kaha shaam k baad
main agar khush bhi rahoon phir bhi mere seenay main
sogwarai koi roti hai sada shaam k baad
Maar deta hai ujar jane ka dohra ehsaas
kaash ho koi kisi se na juda shaam ke baad