Owi
01-17-2011, 01:21 PM
Teray khayaal mein jab bay-khayaal hota hoon
Zara si dair sahi, laa-zawaal hota hoon
Is hi liye mujhay shaa-ir bana diya tu nay
Teray hijir mein bohat hi nidhaal hota hoon
Teri sadaa mujhay apni taraf bulaati hai
Main jab kabhi bhi bohat purr-malaal hota hoon
Main gerd-e-khaak hoon laykin teray hawaalay say
Kaheen misaal, khaeen bay-misaal hota hoon
Kabhi sambhaal ker rakhta hoon apni aankhon ko
Kabhi jamaal mein mehaw-e-jamaal hota hoon
Kabhi main peeta hoon saber-o-shakaib k saaghar
Kabhi main paykar-e-jaah-o-jalaal hota hoon
Kabhi main tor k nikloon sha'oor ki serhad
Kabhi main misl-e-rah-e-aitaydaal hota hoon
Kabhi sulagta hoon ban ker wujood sandal sa
Kabhi gulaab k phoolon ki daal hota hoon
Khud apnay aap hi hota hoon muntashir .....
Khud apnay aap hi akser bahaal hota hoon.