Owi
01-17-2011, 01:08 PM
Pehlay to apnay aap ko tum sa banaaoon ga
Phir us k baad main tumhein apna banaaoon ga
Is dil ko teray ishq k saanchay mein dhaal ker
Jaisa bhi tu kahay ga main waisa banaaoon ga
Apni adhoori zaat ki takmeel k liye
Duniya ko khuwaab, khuwaab ko duniya banaaoon ga
Jaaoon ga us terhan hi, main aaya tha jis terhan
duniya kamaaoon ga na main paisa kamaaoon ga
Tabdeel ker naa paaoon ga tera jahaan mager
Jitna bhi ho mumkin isay acha banaaoon ga
Baahir say main chaloon ga zamaanay k saath saath
Ander say apnay aap ko tera banaaoon ga
Jab tak tu meray haal pay kerta nahi karam
Khud ko gali gali mein tamaasha banaaoon ga
bikhray paray hein synkron naqhsh-e-qadam mager
Raston k dermiyaan hi rasta banaaoon ga
Jis ko bhi ..... hui hogi mohabbat jahaan mein
Us ko main apni jaan ka tukra banaaoon ga