!«╬Ĵamil Malik╬«!
01-13-2011, 11:18 PM
Buhat hi muddat key baad kal jab
Kitaab-e-maazii ko main nay khola
Buhat say chehray nazar main utray
Buhat say naamon peh dil paseeja
Ik aesa safha bhii uss main aayaa
Likha huwa tha jo aansuon say
Keh jiss ka unWaan hum-safar tha
Safha yeh sub say hi mo'tbar tha
Kuch aur aansoo phir uss peh tapkay
Phir uss say aagay main parh na paayaa
Kitaab-e-maazi ko band kar kay
Ussii kii yaadon main kho gyaa main
Agar woh miltaa tou kaisa hotaa
Inhii khyaalon main sou gayaa main. . .
Kitaab-e-maazii ko main nay khola
Buhat say chehray nazar main utray
Buhat say naamon peh dil paseeja
Ik aesa safha bhii uss main aayaa
Likha huwa tha jo aansuon say
Keh jiss ka unWaan hum-safar tha
Safha yeh sub say hi mo'tbar tha
Kuch aur aansoo phir uss peh tapkay
Phir uss say aagay main parh na paayaa
Kitaab-e-maazi ko band kar kay
Ussii kii yaadon main kho gyaa main
Agar woh miltaa tou kaisa hotaa
Inhii khyaalon main sou gayaa main. . .