Log in

View Full Version : Khudbaat e Madras


Shaam
01-12-2011, 10:36 AM
Assalam O Alaikum

bohat sei loge sawal kartey hain ke books parhne ka shauq tou hai
per kaun si book parhi jaye.. kis topic per parhi jaaye
waja yahi hai ke is daur me ilm hasil karne ke wasayil bohat aur ilm hasil karne walei kam hai


buzurgaan e deen kahtey hain yah wo daur hai jab mazdoor kam aur mazdooriaa ziada hain

merei asatiza kahtey hain ke kisi tehreer kitaab ya sohbat ka asar insan ki shaksiyat per parta hai
aur yaqeenan parta hai.

zer e nazar kitab "Khutbaat e Madras" Syed Suleman Nadvi ke khutbaat per mazkoor hain. aap ki zaat kisi tarruf ki mohtaaj nahi
Seerat un Nabi jaisy shehra e afaaq taqhleeq jo shayed urdu kia arbi zabaan me bhi seerat per sab sei mustanad kitaab maani jati hai.
yah khutbaat chiristian missionary ke un lectures ke counter me kahey gaye jo unho ne madraas me tarveej ke lia kahey they.

Seerat parhne ka sab sei faida yah hota haikei mohsin e insanyat aur sab sei behter Khalf merei aqaa Syedna Sarwar e Konain Hadi e Barhaq janab Rasool e Kareen Hazrat Muhammad Mustafa Ahmed e Mujtafa Sallalah o Alaihe wassalm ki zaat ke ausaaaf e hameeda hamarei ander muntaqil hona shuru hojatey hain ger niyat parhne ki yah ho ke hum parh ker aap ke tareeqo ko adopt karne ki koshish kareinge.

sabs ei bahter tou yah hai ke is ka print leikei beth kar ahtraam sei barhein
warna atleast tawajja sei parhein aur koshish karein jo ausaaf Aap ki zaat e mubarka ke hum parha hain wo hum me muntaqil hon.

Wo hasti rahmat wo hasti kareem wo hasti meherbaan wo hasti mardam shinaas sab sei kamil sab sei aqil sab sei baligh sab sei pyare sab sei bahadur sab sei ahsan sab se mehboob tou sochein ger unke ausaaf hamarei ander aanei lagei tou hum bhi insano ke nazdeek aur Allah ke nazdeek aisey hi mahboob hotey jain ge.


Ghulaami e Muhabbat me hai Baqa ka raaz muzmir.

anyway

URL is book ka yeh hai aur umeed hai aap log ek baar parhein ge aur koshish akrein ke is kainaat ke sab sei behetreen insan ke ausaaf kudh me muntaqil karne ki koshish karein ge hum sab.


http://www.fileserve.com/file/nRE28AC

!«╬Ĵamil Malik╬«!
01-12-2011, 05:48 PM
Nice T4S

HaaNiya
02-02-2011, 05:54 PM
Walaikum Asalam

Very very nice
Thanks 4 sharing...

~~KING~~
02-17-2011, 11:42 PM
very nice thanx for sharing :bu: keep it up.......:0073:

Ṕø$ṫ ℛЇḎℰℜ
02-26-2011, 02:10 AM
nice post
Thanks for sharing

RoOZ SoOChTa HouN
05-14-2011, 03:08 PM
kya baat hai ... zabardast

life
06-07-2011, 03:25 PM
nice sharing......

Abewsha
08-05-2011, 06:41 AM
v nice.....

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.