s_sableo
12-13-2008, 01:15 AM
sawal tu hy jawab tu hy
mohabbton ki kitab tu hy
be sabaat jahan k rang saarey
meri nazar myn shabaab tu hy
ye kaienaat hy jis se roshan
aftaab taarey mehtaab tu hy
kabhi to hota hy pass merey
kabhi chamakta saraab tu hy
phool kalyon ka khush rang perhan
khushbo"on ka hijaab tu hy
tu meri khawahish tu meri hasrat
haseen aankhon ka khawab tu hy
nisab_e_zindagi hy ishq saiem
meri zindagi ka nisaab tu hy
mohabbton ki kitab tu hy
be sabaat jahan k rang saarey
meri nazar myn shabaab tu hy
ye kaienaat hy jis se roshan
aftaab taarey mehtaab tu hy
kabhi to hota hy pass merey
kabhi chamakta saraab tu hy
phool kalyon ka khush rang perhan
khushbo"on ka hijaab tu hy
tu meri khawahish tu meri hasrat
haseen aankhon ka khawab tu hy
nisab_e_zindagi hy ishq saiem
meri zindagi ka nisaab tu hy