khwahish e benam
01-02-2011, 02:43 AM
Raat jab us ne merii nazAm sunii
sun ke kuchh der vo hairaan raha
aur phir kahne laga….
“tum to aise nahiiN likhti thi kabhi
ye suKhan-goii kahaan se seekhii?
aise jazbaat kahaan se laayi
aur ehsaas kii shiddat itnii?”
meri Aankhon meiN ubharte Gham ko
us ne mehsoos kiyaa hi hogaa
aur rafaaqat ke voh beetay lamhe
jin ko shaayad voh bhulaa baitha tha
ek saa’at ke liye
Ghaaliban yaad kiyaa hi hogaa
is se pehle k laraztii aavaaz
aur palkoN pe thiraktay aaNsoo
us pe ilzaam koii dhar detay
maiN ne nazroN ko bachaate hue haule se kahaa
“pehle aalam hi kahaaN thaa aisa”
us ne yak laKht jhukaa liiN aaNkheiN
aur phir sahme hue lahje meiN
keh ke “sorry” hua ruKhsat mujh Se.......
sun ke kuchh der vo hairaan raha
aur phir kahne laga….
“tum to aise nahiiN likhti thi kabhi
ye suKhan-goii kahaan se seekhii?
aise jazbaat kahaan se laayi
aur ehsaas kii shiddat itnii?”
meri Aankhon meiN ubharte Gham ko
us ne mehsoos kiyaa hi hogaa
aur rafaaqat ke voh beetay lamhe
jin ko shaayad voh bhulaa baitha tha
ek saa’at ke liye
Ghaaliban yaad kiyaa hi hogaa
is se pehle k laraztii aavaaz
aur palkoN pe thiraktay aaNsoo
us pe ilzaam koii dhar detay
maiN ne nazroN ko bachaate hue haule se kahaa
“pehle aalam hi kahaaN thaa aisa”
us ne yak laKht jhukaa liiN aaNkheiN
aur phir sahme hue lahje meiN
keh ke “sorry” hua ruKhsat mujh Se.......