Owi
12-21-2010, 11:05 AM
Zindagi mehw-e-yaas hai tujh bin
Dil bohat hi udaas hai tujh bi n
Eid ho yaa k ho moharram jaan
Mujh ko kuch bhi na raas hai tujh bin
Wo jo apni khirad pay nazaan tha
In dinon bad-hawaas hai tujh bin
Aik tunhaai reh gai hai faqat
Jo meray aas paas hai tujh bin
Mera saaya bhi aisa lagta hai
Mujh say hi naa-shanaas hai tujh bin
Main kisi say bhi ab nahi milta
Jaanay kaisa haraas hai tujh bin
Dil bohat hi udaas hai tujh bi n
Eid ho yaa k ho moharram jaan
Mujh ko kuch bhi na raas hai tujh bin
Wo jo apni khirad pay nazaan tha
In dinon bad-hawaas hai tujh bin
Aik tunhaai reh gai hai faqat
Jo meray aas paas hai tujh bin
Mera saaya bhi aisa lagta hai
Mujh say hi naa-shanaas hai tujh bin
Main kisi say bhi ab nahi milta
Jaanay kaisa haraas hai tujh bin