Afreen
12-07-2010, 03:37 AM
Tujhe aik bhi na safaee di, meri jaan yeh mera kamaal thaa
Tujhe dostoon per yaqeen thaa, mujhe dushmanoo ka khayal thaa
Banteen shehar mein jo riyattain, tau panaah dhoond li dasht mein
Woh kisi ka reham-o-karam sahi, yeh meri anaa ka sawaal thaa
Tere mausamoon ka hai aik pal, meri yaad mein thaa saja huwa
Mujhe is se koi garz na thee, woh firaaq thaa ke wisaal thaa
Woh jo lamha bhar ki bahaar thee, meri umer bhar ka hisaar thee
Na naye gilon ki tallab koi , na khizaan ka koi malaal thaa
Bhala waqt se mein darunga kya, kabhi khwauf is ka karunga kya
Jissay hans ke mein ne chuna thaa khud, wohi us ka ghaiz-o-jalal thaa
Kisi aur kya bhi yeh haal ho, tau yeh dil na itna nidhaal ho
Meri badnaseebi tau yehi huwi, mein khud aap apni misaal thaa
Mujhe ilm thaa, mein saraab thaa, sau naseeb mera kharaab thaa
Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa