FarazAli
12-02-2010, 07:49 PM
Zabt ko apnay azmaanay do
Door khud say kahin janay do
Phr ghaflato ki chader na orh lon
Dard phr naya ek jaganay do
Kch naqsh hain, gahray meray ander
Naqsh wo dil say mujh ko mitanay do
Chahta hon na chahon jo chah raha hon
Chahta nahi hon jo, wo chahnay do
soch k sochonga kia sochna hay ab
Zahan kisi taraf se aisay hatanay do
Buhat samait li dard ki doulat shozab
yahi hay meray paas yahi lutanay do
Door khud say kahin janay do
Phr ghaflato ki chader na orh lon
Dard phr naya ek jaganay do
Kch naqsh hain, gahray meray ander
Naqsh wo dil say mujh ko mitanay do
Chahta hon na chahon jo chah raha hon
Chahta nahi hon jo, wo chahnay do
soch k sochonga kia sochna hay ab
Zahan kisi taraf se aisay hatanay do
Buhat samait li dard ki doulat shozab
yahi hay meray paas yahi lutanay do