Nida-H
12-02-2010, 04:21 PM
Suno! Dil ke badalney ka koi mausam nahi hota
Kabhi yeh rutt bhi aati hai
Mehek phoolon ki, taaron ke chamak, aazardah karti hai
sunehri narm dilkash chaandni, aankhon main chubhti hai
Koi soorat, koi qissa, koi lehja nahi bhaata
Koi be-naam anjani kasak be chain rakhti hai
Bazahir zindagani main yun to koi gham nahi hota
Magar dil ke badalne ka koi mausam nahi hota!!
Kabhi aisa bhi hota hai
Buhat hi aam si mamooli batain, harz-e-jaan ho kar
Dinon, hafton, maheenon rooh ko sarshaar rakhti hain
Kabhi woh aam si batain magar koh-e-giraan ban kar
Dinon, hafton, maheenon rooh ko bezaar rakhti hain
Tabiyat ke taghaiyur ka tasalsul kam nahi hota
Suno dil ke badalney ka koi mausam nahi hota