M A H i
11-26-2010, 04:41 PM
Jahaan bhar mein kisi ko mera khayaal nahi hai

tumhare baad yahan mera koi haal nahi
jo mar chukey hain tumhein unn ki fikar hai
jo mar rahe hain tumhein uun ka kuch malaal nahi
mein sab zamanon ki tareekh parh chuki hun magar
jahaan bhar mein teri ik bhi misaal nahi
tumhare husn ki haibat sabhi pe taari hai
tumharey aagey kisi ki koi majaal nahi
tumhare hotey har ik lamha har sadi thi meri
tumharey baad koi saal mera saal nahi
hai koi jhaankney wala aj udaas ankhon mein
ye aankhen jin ke labon par koi sawal nahi
ye kis ke gham mein teri aankh aj bhar ai hai
agar mein pooch hi betha hun tujh se, taal nahi
magar wo aam si larki hi dhoondta hai
nagar mein jab ke haseenon ka koi kaal nahi
har ik kamaal ko aakhir zawal dekhna hai
hai ik ishq ka sooraj jisey zawal nahi
wo tera yaar purana hai koi baat uski
agar buri bhi lagey to usey uchaal nahi
tumharey sard rawaye ne mushkelen hal keien
tumhen bhulaney mein mera koi kamaal nahi
sub apni apni anaon ki qaid mein han ''Mahi''
yahan kisi ko kisi ka zara khayal nahi .... !!