Shaam
11-25-2010, 02:52 PM
Nabi e Akhrius Zamaa, haadi e barhaq khatim e nabeyeen, sardarul anbia, mohsin e insanyat, habib e khuda, risalat e maab Muhammad Mustafa Sallalho Alehey Wa' aalehey Wassalam ka irshad hai "
[CENTER]TUM ME SE SAB SE BAHTER WO HAI JO APNI BIWIO KE SATH SAB SEI BAHTER HAI/CENTER]
Allah nei Aap SAW ko aala ikhlaaq ki takmeel ke lia dunya me bheja. Ikhlaaq me sirf zaban ki chashni nahi bulkei sakhawat, kirdaar aur ros marra ki zindagi me ahsan tareeqay sei adaigi shamil hai
Aap saw ki zindagi chahey wo mehfil ki ho ya tanhaai ki us ka ek ek pal hamarei samnei maujood hai jo ke bazaat e khud ek maujiza hai. aap ka ashab e karam sei leikei ajwad e mutaharaat se bartaao yaha tak ke janwaro tak sei sulook hamarei samney khuli kitab ki tarha hai.
wo jo dunya ki sab sei nafees rooh, nasir, hadi, bayis e takhleeq e kainaat, sardar ul anbia, poori dunya kei badshah they wo apne zindagi me kaisey they wo is darj bala hadees sei saaf zahir hai
aaj meri aur aap ke samnei hai achey parhey likhey gharo me biwi ke maaa, baad bhaio ko gali deina unko ukherna izzat e nafs per hamla karna itna mamool hai ke fakharyaa bayaan kia jata hai. Quran kahta hai wo tumahrei maa baap hain aur hum 30 30 saal saath rah kar bhi biwio ke waldein ko maa baap ka darja nahi dei paatey.
ek baar hazrat memoona jo ke aap saw ki akhri biwi thein aur unsei shadi intiqal sei 3 mah pahlei ki thi. raat unke gher teherne ki bari thi. Raat me Allah ke rasool rafa e hajat ke lia bahar tashreef leigaye aur hazrat memoona ki ankh khul gai. wo samjhein ke kisi aur biwi ke pass chalei gaye. dil beth gaya gussa agaya. aur darwazey pei kundi lagadi. AAp saw wapis aaye darwaza bajaya kaha kholo . hazrat memoona ne kaha nahi kholti.
kio nahi kholti Allah ki bandi
aap mujhey chor kisi aur ke pass chalei gaye they
mei Allah ka rasool hoo me khayanat nahi karsakta
aap jhoot boltey hain aap gaye they
mei Allah ka rasool hooo me jhoot nahio bolsakta
akhir manaya unko mana kar darwaza khulwaya aur kuch bhi na kaha
na khafa huwa ke tumne kia be adbi ki. yah sab kia hai
yah unka haal tha jinke ek isharey pei dunya o jahan hazir tha.
dosto zaban ki hifazat karo. sarei ghao bharjatey hain lafz yaad rah jatey hain. lafzo ke ghao nahi bhartey. yaad kar kar ke banda kurhta hai dard hota hai. ikhlaaq jis ke alaa hain wo tahajudd guzaro sei ziada buland martabey per hai. jis ki zaban sei log mahfooz hain jo narm zaban rakhta hai jhuk ke rahta hai jo logo sei ayaal sei rishtey daro sei biwio sei narmi sei muhabbat sei pesh ata hai wo Nabi ki sunnat ka zinda karnei wala hai.
Allah mujh per rehem karei aur aap sab ko behetreen ajar dei
KAMTAREEN
Hammad ( Shaam )