Log in

View Full Version : Kabhi ham khubsoorat the..


!«╬Ĵamil Malik╬«!
11-22-2010, 10:40 AM
Kabhi ham
khubsoorat the..
Kitaabon main basi khushbu
ki maanind
saans saakin thi
Bohat se an kahe
lafzon se
tasveerain banatay the
Parindon k paron per nazm likh ker,
door ki jheelon main
basnain waalay logon ko
sunaatay the
Jo ham say door the
laikin, hamare paas
rehtay the..
Naye din ki musaafat
jab kiran kay saath,
angan main utarti thi..
Tu ham kehtay the
“Ammi, titlion kay per bohat hee khoobsoorat hain”
Hamain maathay pe bosa do,,
kay ham ko,
titlion k,
jugnuon k
des jaana hai
hamain rangon k jugnoo,
roshni ki titlian
aawaz deti hain
Naye din ki musaafat rang main
doobi hawa kay saath
khirki say bulaati hai
hamen maathe pe bosa do...
hamain maathe pe bosa do...
hamen maathe pe bosa do...

munazza
11-22-2010, 02:40 PM
boht zabardast nazam hy

Ghuncha
11-22-2010, 08:37 PM
Woww ...

!«╬Ĵamil Malik╬«!
11-23-2010, 04:42 PM
Thnxxxxxxxxxxx

SHAYAN
11-26-2010, 01:54 AM
Nice...

!«╬Ĵamil Malik╬«!
11-27-2010, 07:11 PM
Thnxxxxxxxx

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.