LAMS
11-07-2010, 08:12 PM
Koi bujhta howa manzar nahin dekha jata
Ab kisi ankh ko patthar nahin dekha jata
Who hamara na sahe aur kabile ka sahe
Hum se paspa koi lashkar nahin dekha jata
Kia yeh such hai kay tere aena khane men mujhe
Meri qamat kay barabar nahin dekha jata
Who na lauta to ose laut kay ana bhi na tha
Youn bhi ek khuwab mukarar nahin dekha jata
Mujh ko pana hai to phir mujh men otar kar dekho
Youn kinare se samandar nahin dekha jata
Koi aseb mere shahar men aesa bhi hai
Jis se abad koi ghar nahin dekha jata