LAMS
10-30-2010, 01:02 PM
bohut dafa dil ki nagri men
chalet phirte jaane kaha se
aa jata hai yeh khayal
chor de sahir
ab yeh dard kay qisse likhna
din dehare din ko aksar
raten likhna
sehra ko barsaten likhna
dhoop men chaon ki baten likhna
shahar men gaon ki baten likhna
chor de yeh sub pagal pun hai
kia yeh dhun hai jis men too magun hai
bohut dafa dil ki nagri men
chalte phirte jaane kaha se
aa jata hai yeh khayal
aur phir ahad men kar leta hun
ab na dard ki bat kahun ga
ab na din ko rat kahun ga
shahar ko likhun ga na gaon
dhoop ko na barsat kahun ga
lekin jab bhi jan e jana
yumhari yad ki chadar koo
orh kar nikalta hun to
rat bhi din c lagti hai
tapti jalti dhoop bhi mujh ko
phir barsat c lagti hai
aur
bheeg raha hota hai sehra
chalet phirte jaane kaha se
aa jata hai yeh khayal
chor de sahir
ab yeh dard kay qisse likhna
din dehare din ko aksar
raten likhna
sehra ko barsaten likhna
dhoop men chaon ki baten likhna
shahar men gaon ki baten likhna
chor de yeh sub pagal pun hai
kia yeh dhun hai jis men too magun hai
bohut dafa dil ki nagri men
chalte phirte jaane kaha se
aa jata hai yeh khayal
aur phir ahad men kar leta hun
ab na dard ki bat kahun ga
ab na din ko rat kahun ga
shahar ko likhun ga na gaon
dhoop ko na barsat kahun ga
lekin jab bhi jan e jana
yumhari yad ki chadar koo
orh kar nikalta hun to
rat bhi din c lagti hai
tapti jalti dhoop bhi mujh ko
phir barsat c lagti hai
aur
bheeg raha hota hai sehra