PDA

View Full Version : Your comments will be Highly Appreciated..


Truth Reveals
10-28-2010, 03:30 AM
:bismillah:

:salam:

Mere Sath Aik Problem Rehta Hay Hamesha Hi, .. Mujhay Logo Ki Ghaltiya Highlite Kar Kay Unhain Samjhanay Ka Bohat Shoq Hay.. Shayad Is Liye K Mein Khud Amal Karta Hoon, To Mein Chahta Hoon K Wo Bhi Amal Karain.. K wo Khud K Sath Zulm Na Kartay Rahay.. Aur Mein Zulm Hota Na Daikhta Raho.. Mera Uthna Baithna Jin Societies Mein Hay Un Ka Ye Point of veiw Hay K Koi Namaz Parhta Hay Ya Quran Majeed Parhta Hay Ya Being a Muslim Islam K Arkaan Par Kitna Chalta Hay.. Wo Us Ka Personal Matter Hay, Humain Is Baray Mei Us Say Baat Nahi Karni Chahiye.. Poochna Ap Say ye Hay K Kya Us K Is Personal Matter Ko Personal Matter Samjh Kar Us Banday Ko Us Kay Haal Par Chor Diya Jaye? Ya Us Ki Islaah K Liye Usay Samjhaya Jaye, Takay Kal Ko Us Ka Bhala Hojaye?

safa
10-28-2010, 10:36 PM
:image::image::image:

safa
10-28-2010, 11:45 PM
Us Ki Islaah K Liye Usay Samjhaya Jaye, Takay Kal Ko Us Ka Bhala Hojaye..........han
kya pata aakhirat main yahi amal hamare kaam aajaye.......:goodpost:

FurQan
10-28-2010, 11:59 PM
:bismillah:

:salam:

Mere Sath Aik Problem Rehta Hay Hamesha Hi, .. Mujhay Logo Ki Ghaltiya Highlite Kar Kay Unhain Samjhanay Ka Bohat Shoq Hay.. Shayad Is Liye K Mein Khud Amal Karta Hoon, To Mein Chahta Hoon K Wo Bhi Amal Karain.. K wo Khud K Sath Zulm Na Kartay Rahay.. Aur Mein Zulm Hota Na Daikhta Raho.. Mera Uthna Baithna Jin Societies Mein Hay Un Ka Ye Point of veiw Hay K Koi Namaz Parhta Hay Ya Quran Majeed Parhta Hay Ya Being a Muslim Islam K Arkaan Par Kitna Chalta Hay.. Wo Us Ka Personal Matter Hay, Humain Is Baray Mei Us Say Baat Nahi Karni Chahiye.. Poochna Ap Say ye Hay K Kya Us K Is Personal Matter Ko Personal Matter Samjh Kar Us Banday Ko Us Kay Haal Par Chor Diya Jaye? Ya Us Ki Islaah K Liye Usay Samjhaya Jaye, Takay Kal Ko Us Ka Bhala Hojaye?

Walikum Asalam .. Well Said truth ... Jaha tak Faraiz ka taluq hay wo tu app ku zabardasti karwana hay .in ku choura nahi ja skta wo personal matter nahi hay... Jisa kay Hadess ka mafhoom hay k baynimazi ki nahosat 7 gharo tak pohnchti hay .. dosra jisa kay surah imran mai ALLAH swt nai farmaya k tum aisi umat hu ju logo'n ki bhalai k liye nikali gai hay ... Tu logon ki bhalai tu humy kerni hi hay :) Amar bil marof wa nahi anil munker hum sab per farz hay ..

well this is a complicated topic The real problem is AMAL..
May ALLAH give you strength and keep u strong on your deen ...

Noor ul huda
10-29-2010, 10:13 AM
Walaikum us salam Wr Wb

Yeh Aik buhut Acha Shouq Hay............MashaALLAH wa BarakALLAH

Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar aik Farz Hay , agar yeh nahi Kariengy tu iss ki Misal Hadees may aisy Di Gayii Hay..

Mafhoom = * Aik Kashti May musafir hain Jis may oper walo kay pass pani hay aur neechy walo kay pass nahi , aur oper walo say maangny per bhi unko nahi milta , tu woh kashti may surakh ker lien k iss tarha hamy Paani mil jaye ga tu kia ab oper waly pani nahi diengy jab k kashti dobnay ka khatra ho?*

Tu Akhriat ki pakkar itni sakhta hy , us ka adrak hou jaye tu insan sab ki Bhalayi ka soochny lag jata hay MAGAR iss kay kuch asool huty hain , app aik dam sy dosry ki ghaltiyaan highlite nahi ker sakty Jab k woh ajnabi bhi hou... Iss may Niyyat ka ikhlas , naram Lehja aur sab sy bhar ker sabar ki zaroorat hay...

Lykin iss kaam ko chourna nahi hay...InshaALLAH Kio Hadees Hay

Prophet Sallalaahu alaihi wasallam said * Us Zaat Ki Qasam Jis Ky Haath May Mayri Jaan Hay Tum Zaroor Naiki Ka Hukm Dougy Aur Zaroor Burayee Say Roko Gyy Warna Aik Waqt Ayegaa K Jab Tum Duayien Mangoo gy Aur Woh Qabool Na Houngii*

Logo ky Rwayyo Ki Parwa Na Karien Cox ALLAH says In Quran

* Kia May tumhay iss Liye chour do aur Zikr Na karo K Tum aik Musrif Qoum Ho?* (Means Khuwah Tum kaisa Bhi igroance ka rawayya Rakko May phir bhi zikr deta rahooga)

This ALL is Not A Personal Matter Ofcourse.. :) Agar kisi ko koi khatarnaak infection Hou tu kia woh phailta nahi ? Khuwah woh persnol ho...Buraiyoo ka apna asar Huta hay,,.

Baharhall U r Doing a Great Job But SABAR is Must !!

Truth Reveals
10-29-2010, 10:38 AM
Jazak'Allah Safa Bohat Achay Comments Diye Apnay..

Jazak'Allah FurQan, Ap K Comments Bhi Mashallah Mujhay Bohat Achay Lagay, Bass 2 Batain Aik Poochni Aur Aik Kehni Hay, Poochni Ye K Jo Hadis Ap Nay Bayan Ki "7 Gharo'n Tak Nahoosat Pohanchti Hay" Agar Hosakay Is Ka Hawala Zaroor Bata Dijiye Ga Kisi Ahadith Ki Kitab Ka .. Aur Kehna Yehi Hay K Ye Complicated Topic Nahi Bass Hum Nay Bana Diya Hay..

Jazak'Allah Siddiqa_Hijab , Aur Bilkul Theek Kaha Ap Nay Bhi K Kisi Ko Apni Baat Ka Qayel Karnay K Liye Ap Ko Husn e Ikhalq Ka Daman Hath Say Nahi Chorna Chahiye, Doosra Sabr Say Kaam Laina Chahiye.. Aur Please Agar Hosakay To Mujhay Ap Bhi Mafhoom-e-Hadith Ka Refrence Laa Dijiye Ga.. Mein Refrence is Liye Mangta Hoon K Pata Lag Jaye Us Waqt Halaat Aur Waqeyaat Kya Thay Jab Nabi "SAAW" Nay Ye Hadith Bayan Ki Thi..

FurQan
10-29-2010, 11:08 AM
JazakaALLAH u like my comment..yeh link share kerta hu inshaALLAH Help mili ge .... yeh Sahi bukhari ka "nimaz" ka chapter hay..aur us haids ka ager hawala mila tu zaroor dunga
http://www.witness-pioneer.org/vil/hadeeth/bukhari/008.htm

Truth Reveals
10-29-2010, 11:11 AM
Theek Hay Bhai, Mein Inshallah Ye Parhonga Bari Bari.. Ap Ko Agar Kahi Hawala Milay To Yehi Par Share Kar Daina Hmmm? Allah Hafiz

safa
10-29-2010, 07:20 PM
http://www.orkutjunks.com/graphics/comments/thank_u.jpg

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.