bellbottom
10-25-2010, 03:15 AM
Dil hi toh hai na sang-o-khisht
dard se bhar na aaye kyun
roenge hum hazaar baar
koi humein satayein kyun
dair nahin haram nahin
dar nahin astah nahin
baithe hai rah guzar pe hum
gair humein uthayein kyun
qaid-e-hayat-o-bandh-e-ghum
asla mein dono ek hai
maut se pehle admi
ghum se najat payein kyun
han woh nahi khuda parast
jao vo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz
uski gali mein jayein kyun
ghalib-e-khasta ke bagair
kaun se kaum band hai
royein azar-zar kya
kijiyein hai hai kyun
roenge hum hazaar baar
koi humein satayein kyun
Dil hi toh hai na sang-o-khisht
dard se bhar na aaye kyun
roenge hum hazaar baar
koi humein satayein kyun
dair nahin haram nahin
dar nahin astah nahin
baithe hai rah guzar pe hum
gair humein uthayein kyun
qaid-e-hayat-o-bandh-e-ghum
asla mein dono ek hai
maut se pehle admi
ghum se najat payein kyun
han woh nahi khuda parast
jao vo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz
uski gali mein jayein kyun
ghalib-e-khasta ke bagair
kaun se kaum band hai
royein azar-zar kya
kijiyein hai hai kyun
roenge hum hazaar baar
koi humein satayein kyun
Dil hi toh hai na sang-o-khisht