Log in

View Full Version : Ek sawal..


Shaam
10-24-2010, 07:55 PM
Asslam Alaikum

hum musalmano ki badkismati hai ke ilm ko hamari gumshuda meeras bata gaya hai lekin phir aaj tak us ko gumshuda hi rakha. Is had tak ke bohat aqal pei jo parakh sakein us ki bhi koshish nahi ki

Ek sawal akser Gher muslim hum sei poochtey hain tanz ke andaz me ya mazaak uranei ke andaaz mei.
aur wo yah kei tumahrei NABI ko shadia karne ke alawa koi kaam nahi tha (naoozo billah) ya
tumahrei nabi ayash they (naooz o billah)
wagarna wo itni shadia kio kartey kia waja hai ke unho ne itni saari shadia ki


aur hum akser apni kamfehmi ki waja sei marei jatey hain


mei chahta hai yaha aap log is me hissa lein aur is ka jawab dein ke
nabi pak saw ne 13 ya 11 shadia kio ki
jabkei aaj koi karei tou waqai us ko ayash kaha jaye even ek waqt na bhi karei
per AAP SAW nei 9 biwiaa ek sath rakhein


I wanna know what u think about it.............

Shaam
10-25-2010, 08:43 PM
great to view that replies emm impressed.

Noor ul huda
10-26-2010, 05:00 PM
Tommorrow InshaALLAH.. :)

I hav a full report..I will search it then i will share..

Shaam
10-26-2010, 09:06 PM
yeah sure ,

Shaam
11-04-2010, 01:15 PM
well as i started this topic so i have to finish it aswell.
hmmm
emm amazed as i have been asked this question several times by the muslims and non muslims in different social profiles and in other interaction i made.

is ka jawab jannei sei pahlei prophet SAW ki physical appearence aur personality ko dekhtey hain. unke barei me rawi JASEEM aur QASEEM jaisey lafz likhtey hain jinke matlab hotey hain "jis ko dekh kar dil na bhaerey" aur "ek baar dekho tou baar baar dikhnei ka dil karei" is ke alawa ummul momineen hazrat Ayesha Siddiqa (RZ) farmati hain " ger bani israil ki aurtein aap SAW ko dekh leiti tou unglio ke bajaaye dil kaat deti".
mukhtalif muqamaat pei sahaba e karam aur sabiyaat ke mutabiq aap saw husn me apni misaal aap they, koi unkei chand sei mushabihat deita koi kahta unke chahrey sei ek noor phoot ta tha.
aur App SAW ne kudh farmaya mujhey jin chezo ke aam logo sei foqiyat di gai hai us me ek mardangi bhi hai.

ab ek aisa insan jis ki itni tareef ki jaaye sirf physical apperances ki wo 25 saal ki umer me ek 40 saal ki khatoon sei shadi karei aur umr ke 25 saal unek sath guzardei (hazrat khajida RZ ka wisaal huwa tou aap SAW ki umr e mubarak 50 saal thi).
aisa shaks dunya ki khuwahish karsakta hai yah baat baeed ul qayas hai.

secondly ab us ke baad unho ne pei darpey shadia kio farmyein.
ek line me us ka jawab yah hai ke us time ahkamaat e ilaahi ka nuzool shuru hogaya tha aur musalmano me pardey ke ahkaan bhi nazil hogay they tou khawteen is ke alaawa bhi bohat sei masayil fitri sharam o haya ki waja sei be jhijhak hoke nahi pooch sakti thi direct aap SAW sei tou un khawateen me tarweej e deen ka best tareeka yah ajwaaj thein jinho ne apne apne halqay me wo tamaam tor tareqqay pohanchaaye jo unho nei aap SAW ne khulwat me aur samnei sunei aur seekhey.

phir aap saw ka her nikah kisi waja sei huwa
like hazrat zainab sei nikah huwa tou arab me moun bolei betey ki mutalliqa sei shadi ki taseeh hooi
hazrat hifza sei shadi hooi tou unke qabilei ko musalmano ne ahtraman chordia
aur bohat si misaalein hain

tou beherhaal yah kahna ke aap saw naoozo billah ayash they (MAAZ ALLAH) sirf jazbaat sei hut kar aqal ke pairay me sochein tou bhi nafi hi hoti hai.

beherhaal i hope kal ko ger hum sei kisi ke samnei yah sawal aye ga tou wo us ka bahter jawab deisakta hai : )

maliksaim
11-04-2010, 03:06 PM
keep on sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.