M A H i
10-20-2010, 10:20 PM
mujhe apne zabt pe naaz tha,
sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai,
mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka
ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi,
na jala howa na bujha howa
mujhe jo bhi dushman-e jaan mila,
wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari
na kisi ka teer khata howa
mujhe aap kiu na samajh sake,
kabhi apne dill sey bhi pocheye
neri dastaan-e hayaat ka
tu waraq waraq hai khula howa
jo nazar bacha k guzar gaye
merey saamne sey abhi abhi
ye mere hi shehr k log they,
mere ghar sey ghar hai mila howa
humain is ka koi bhi huq nahi
k shareek-e bazm-e kholoos hun
na humarey paas naqaab hai,
na kuch aasteen main chupa howa
merey ek gosha-e fik'r main,
meri zindagi sey b aziz tar
mera ek aisa bhi dost hai,
jo kabhi mila na juda howa
mujhe ek gali main para howa,
kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dil sey likha howa,
kaheen ansoon sey mita howa
mujhe hum-safar bhi mila koi
tu shikasta haal meri tarha
kai manziloon ka thaka howa,
kaheen raaste main luta howa
humaien apney ghar sey chaley howe,
sar-e raah uma'r guzar gai
koi justuju ka sila mila,
na safar ka huq hi ada howa
sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai,
mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka
ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi,
na jala howa na bujha howa
mujhe jo bhi dushman-e jaan mila,
wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari
na kisi ka teer khata howa
mujhe aap kiu na samajh sake,
kabhi apne dill sey bhi pocheye
neri dastaan-e hayaat ka
tu waraq waraq hai khula howa
jo nazar bacha k guzar gaye
merey saamne sey abhi abhi
ye mere hi shehr k log they,
mere ghar sey ghar hai mila howa
humain is ka koi bhi huq nahi
k shareek-e bazm-e kholoos hun
na humarey paas naqaab hai,
na kuch aasteen main chupa howa
merey ek gosha-e fik'r main,
meri zindagi sey b aziz tar
mera ek aisa bhi dost hai,
jo kabhi mila na juda howa
mujhe ek gali main para howa,
kisi badnaseeb ka khat mila
kaheen khoon-e dil sey likha howa,
kaheen ansoon sey mita howa
mujhe hum-safar bhi mila koi
tu shikasta haal meri tarha
kai manziloon ka thaka howa,
kaheen raaste main luta howa
humaien apney ghar sey chaley howe,
sar-e raah uma'r guzar gai
koi justuju ka sila mila,
na safar ka huq hi ada howa