Shaam
10-15-2010, 12:35 AM
pather nahi tha per thokar me agaya
roz e mahsher sei pahlei me hashar me agaya
teri her mehfil ki jaan hona tha mujh ko per
teri yaad ki veeranio ki qabar me agaya
na sar e nazar manzil na hai roshni na umeed
yah kaisa more meri raahguzar me aagaya
khuli jo ankh meri tu ujaaley they maqfood
yah kaisa andhera ab meri sahar mei agaya
mei akser dil ki gehraio sei noch phenka gaya hoo
mei phir sei girnei ko kio kisi ki nazar me agaya
wo tou khusboon ka musafir hai, qudrat ka koi inaam
tu siyah bakht Shaam kaha us ki raahguzar me agaya