~wish munda~
10-13-2010, 01:39 AM
Muhabat K Chiraagun Ko Hawa Kese Bujhaaye Gi...
Hawa purzour hai, Purshour hai, Mo-zour hai lekin,
Hawa chalaak hai, siffaak hai, bebaak hai lekin,
huwa yulghaar hai, aazaar hai, talwaar hai lekin,
hawa be-mehar wehshi hai, PurQehar hai lekin,

Jo khaaliq hai muhabat ka, jo hafiz hai muhabat ka,
jo zaamin hai muhabat ka, wohi maalik hawa ka hai,
to phir kese hawa ko sarkashi kerne ka yara ho?

Chalo ehd-e-guzishta k hawale samne rakh kr,
nateejey per pohenchte hein,
ager ab tak nahi samjhe
to is terha samjhte hen,
humein tareekh k Album se ik tasweer milti hai,
k darya jis ka ghussa pal me kashti ho dabota hai,
ishara pa k khaaliq ka,
kisi jaa'nbaaz k kachey gharey ko,
Goud me ley ker,
kinaare tak bhe lata hai,
yehi qudrat ka sikka hai,
jo her ik shey pe chalta hai,
to jaan e jaa'n ager apni muhabat bhe,
wisaal e jism o jaa'n ki rahat se bartar hai,
badan k qurb se,
aagey bohet aagey ki manzil hai,
ye ik anmol rishta hai,
ye do rohoon ka bandhan hai,
to phir wehshi hawa fitrat ki marzi or mansha per,
faqat Mubham ishaarey se badal kr apni fitrat ko,
Muhabat k chiraagoon ki hifazat khud he ker le gi,