djsayz
12-05-2008, 11:17 PM
us bevafa kaa shahar hai aur ham hain doston
ashk-e-ravaan ki nahar hai aur ham hain doston
shaam-e-aalam Dhali to chali dard ki hava
raaton kaa pichla pahar hai aur ham hain doston
aankhon mein ur rahi hai luTi mahfilon ki dhul
ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain doston
ye ajanabi si manzilein aur raftagan ki yaad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain doston