View Full Version : !!!!! Kuch nazmein aur kuch geet !!!!
Shaam
10-03-2010, 04:33 PM
pyar pe bus tou nahi mera
tu batade ke tujhey pyar karoo ke na karoo
tune kudh apne tabassum sei jagaya hai unhey
un tamanaon ka izhaar karoo ya na karoo
tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
meri raatein teri khushboo sei basi rahti hain
tu kahein bhi ho tere phool sei aariz ki qasam
teri palkein meri ankho pei jhuki rahti h ain
tere hatho ki hararat teri sanso ki mehek
terti rahti hai ahsaas ki tanhaai mei
dhoondti rahti hain meri banhein tujhko
sard raato ki sulagti hooi tanhaai mei
Shaam
10-03-2010, 04:40 PM
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
kia dil ke kheil jeetne walei bhi rotey hain
wo jin ki chshm e kudh been auro ko dekha nahi karti
bhala kis gham me dil ke taar me moti pirotey hain
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
kia manind e sheesha pather me bhi baal ata hai
asar angez hai abtak muhabbat ka yah jazba
jo aisey hosh mando ko bhi youn pagal banata hai
tumhari bhegti palko sei mei nei baarha poocha
mizaaj e husn me yak baik yah kaisa inqilab aya
sitaarey dekhna aur dekh kar afsurda hojana
bari takheer sei tum ko sitaaro ka hisaab aya
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
keh tark e rabt pe kia mujh sei wehshi yaad atey hain
talluq torna asaan tha tou kio ankh yah nam hai
ana parwar, jafa paisha bhi ansoo bahatey hain
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
ke jalne aur jalanei me bhlaa kia lutf ata hai
bus ek choti si ana ke wastey barbaad hojana
khudi ke zom me insaan kitnei dukh uthata hai...
FarazAli
10-03-2010, 05:14 PM
shaam bohat hi khubsurat hia
mairi darmanda jawani ki tamannaoo k
muzmahil khuwab ki tabeer bata dai mujh ko
taire daman mai Gulistan bhi hain Veeraney bhi
maira Hasil mairi Taqdeer bata dai mujh ko
ye last hai Shaam first 1 ka
buhat hi khobsorat hai ye Sahir ludhyanvi ki
nice 1 shaaam
Shaam
10-03-2010, 11:40 PM
shukria faraz n Die
Zafina
10-04-2010, 12:05 AM
wah wah Yah tu pura geet hay :71:
Shaam
10-04-2010, 11:48 PM
shukria beta ... gaib kaha ho aap ?
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.