Shaam
10-01-2010, 03:07 PM
aakhri bar milo ......
akhri baar milo ...
aisay ke jaltay huway dil,
raakh ho jayen
koi aur taqaza na karain,
Chaak Wada Na Silay,
zakhm-e-tamanna na khilay
saans hamwaar rahay shama ki lou tak na hilay,
baatain bus itni kei Lamhay inhain aaker gin jayen,
aankh uthaye koi umeed
tou aankhain chhin jayen,
akhri baar milo....
iss mulaqat ka iss baar koi wehem nahin,
is mulaqaat ka is baar....
jis se ik aur mulaqat ki surat niklay,
abb na hejan-o-junoon, Na hikayaat ka waqt,
abb na tajdeed-e-wafa ka, na shikayaat ka waqt,
lut gai shehr hawadis main jata-e-alfaaz,
abb jo kehna hai to kese koi noha kahay,
aaj tak tum se rug-e-jaan ke kai rishtay thay,
hmmmm
aaj tak tum se rug-e-jaan ke kai rishtay thay
kal se jo hoga usay kaun sa rishta kaheay,
phir na dehkain ge kabhi aariz-o-rukhsaar, Milo
matami hain dum-e-rukhsat der-o-dewaar, Milo
Phir.........
phir na hum hongay, na iqraar, na inkaar, Milo
Aakhri Baar Milo..!
aisey ke rakh hojain....