LAMS
09-24-2010, 09:28 PM
itna sukhan men bekal hona parta hai
apne ap se ojhal hona parta hai
jub khamoshi baa mane ho jaey to
lafzon ko phir mahmal hona parta hai
haste baste shahron men rehne walon
akhir akhir jangal hona parta hai
din ko bhi sooraj ki aag men jal jal kar
sham ki ankh ka kajal hona parta hai
dil men her khuwahish ko zinda rakhta hun
baz auqaat to maqtal hona parta hai
sahir ajub hota hai sahar bulandi ka
pani ko bhi badal hona parta hai
apne ap se ojhal hona parta hai
jub khamoshi baa mane ho jaey to
lafzon ko phir mahmal hona parta hai
haste baste shahron men rehne walon
akhir akhir jangal hona parta hai
din ko bhi sooraj ki aag men jal jal kar
sham ki ankh ka kajal hona parta hai
dil men her khuwahish ko zinda rakhta hun
baz auqaat to maqtal hona parta hai
sahir ajub hota hai sahar bulandi ka
pani ko bhi badal hona parta hai