Deewana
09-18-2010, 03:13 PM
kuch ishq tha kuch majboori thi so mei nei jeevan waar dia
mei kaisa zinda aadmi tha ek shaks ne mujh ko maar dia
ek sabz poshaak gulab ki thi ek dunya apnei khaab ki thi
ek bahar jo aai nahi us ke lia sab kuch haar dia
mei khuli hoi ek sachaai mujhey janei wale jantey hain
mei nei kin logo sei nafrat ki aur kin logo ko pyar kia
wo ishq bahut mushkil tha magr asaan na tha youn jeena bhi
is ishq ne zinda rahnei ka mujhey zarf dia pindaar dia
wo yaar ho ya mahboob mere ya kabhi kabhi milne walei
ek lazzat sab ke milne me wo zakhm dia ya pyar dia....