Shaam
09-13-2010, 08:25 PM
bicher ke mujh sei yah mashghala ikhtiaar karna
hawa se darna bujhey charagho se pyar karna
wo log chahein tou phir tumhey yaad bhi na aayein
kabhi kabhi tum mujhey bhi un me shumaar karna
mujh ko ilzam e bewafai kabhi na deina
meri tarha apne aap ko sogwaar karna
tamaam wadei kaha tak yaad rakh sako gei
jo bhool jain wo ehed bhi istawar karna
yeh kis ki ankho ne badlo ko sukhadia hai
ke seena e sang sei rawan abshaar karna
mei zindagi sei na khul sak ais lia bhi mohsin
ke behtey paani pei kab talak aitbaar karna