Shaam
09-11-2010, 01:54 AM
chehrey parhta, ankhein likhta rahta hoo
me bhi kaisy batein likhta rahta hoo
tujh ko khat likhne ke tewar badal gaye
arhi tirchi satrein likhta rahta hoo
tere hijir me mujhey aur kia karna hai
tere naam kitabein likhta rahta hoo
terei zulf ke saye dhiyan me rahtey hain
me subho ko shamein likhta rahta hoo
apne pyar ki phool mehekri raho me
logo ko deewarein likhta rahta hoo
tujh se milke sarei dukh dohraoonga
hijr ki sari batein likhta rahta hoo
sookhey phool, kitabein, zakhm judai ke
teri sab soghatein likhta rahta hoo
us ki bheegi palkein hasnti rahti hain
mohsin jab tak ghazlein likhta rahta hoo
me bhi kaisy batein likhta rahta hoo
tujh ko khat likhne ke tewar badal gaye
arhi tirchi satrein likhta rahta hoo
tere hijir me mujhey aur kia karna hai
tere naam kitabein likhta rahta hoo
terei zulf ke saye dhiyan me rahtey hain
me subho ko shamein likhta rahta hoo
apne pyar ki phool mehekri raho me
logo ko deewarein likhta rahta hoo
tujh se milke sarei dukh dohraoonga
hijr ki sari batein likhta rahta hoo
sookhey phool, kitabein, zakhm judai ke
teri sab soghatein likhta rahta hoo
us ki bheegi palkein hasnti rahti hain
mohsin jab tak ghazlein likhta rahta hoo