M A H i
09-08-2010, 12:27 PM
Dilo Ko Chaid Ker Rak Dain Jo Un Lafzo Se Khaif Hon
Kisi Masoom Per Banti Hoi Baton Se Khaif Hon
Wo Jin Ki Aanch Se Dil K Kanwal Murjha K Reh Jain
Mai Aisay Garm, Julsaye Huway Lehjo Se Khaif Hon
Kisi Ko Zaat Se Meri Koi Takleef Na Pahunchay
Muje Pyaray Hain Jo Mai Un Sabhi Rishto Se Khaif Hon
Unhain Har Aik Se Har Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain
Ana K Jaal Mai Jakray Huway Logo Se Khaif Hon
Kadorat Dil Mai Hai To Phir Kisi Pal War Kar Dengay
Niqaab-e-Dosti Dalay Huway Chehro Se Khaif Hon
Bikhar Jaye Koi To Phir Samaitta Ja Nahi Sakta
Muje Jo Muntashir Kar Dain Un He Socho Se Khaif Hon
Zamanay Bhar Mai Mere Dard Ki Tasheer Kar Dein gay
Mai GhamKhwaro Se Humdardi Se, Humrazo Se Khaif Hon
Jo Hasrat Mein Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jaain
Mai Aisi Khwahisho Aisi Tamannawo Se Khaif Hon
Ye Panja'y Ga'rr Dain Jis Jaga, Wahan Kuch Bi Nahi Rehta
Mai Apnay Chaar Soo Phaili Hoi Rasmo Se Khaif Hon
Ye Deemak Ki Tarah Se Aadmi Ko Chaa't Jatay Hain
Amaawas, Khauf, Darr Aur Andesho Se Khaif Hon !!