s_sableo
12-04-2008, 09:48 PM
meri hayat pe sarey azaab uskey hain
hai nind meri magar sarey khwab uskey hain
jahan rahu mai panahon mei uski rehta hu
zameen, falak, aftaab uskey hain
wo kuch na deney per nadam hai aj tak mujh se
mai khush hu mujh pe karam be hisaab uske hain
jo bach gaye unhein nisbat nahin koi us se
jo lutt gaye hain wo khana kharab uskey hain
hai shakh shakh mei shaamil agarchey khuu.n mera
tamar khaar hain mere , ghulaab uskey hain
:102: