LAMS
09-07-2010, 05:07 AM
tamam shahar ko heran karne wala hun
men apne hone ka elan karne wala hun
abhi woh mor nahi aya is kahani men
jaha men sub ko pareshan karne wala hun
kahin gira kay teri yad ka yeh koh e giran
safar ko aur bhi asan karne wala hun
yeh silsila meri ankhon pe hi nahi moquf
men tera shahar bhi weeran karne wala hun
yeh kis ne rat mujhe neend se jaga kay kaha
charagh e khuwab tujhe dan karne wala hun
tamam omar kaha hai woh meri kismat men
bus aek rat ka mehman karne wala hun