LAMS
09-07-2010, 05:07 AM
WAFA KESI KAHA KA ISHQ
sanam khana, qudrat men hum ne to yahi seekha
koi bhi kafir surat ho, koi mar mar ki murat ho
ghurur e fun masawir ka, ghazab ka khubusurat ho
rashk e ghuncha o mah ho, bana de nazir manzar ko
na la kar taab adaon ki
yeh dil chundhiya na q jaey
khuda kehna na pathar ko
kay pathar phir bhi pathar hai
koi lamha ghaznawi bun kay kahin se a hi jata hai
yeh jadu tut jata hai, kahin phir hosh ata hai
yeh hasil e dil sunata hai
hayat e but parasti men, nigah e shoq ki musti men
is dasht e takhaiyul se
mili hai khak haqiqat ko
lage aag is mohabat ko