LAMS
09-05-2010, 08:56 PM
os ko apna khayal aya tha
aena jis ne banaya tha
kaun tha kis nagar se aya tha
jis ne pehla dia jalaya tha
haey tasweer ho nahi paya
aks ankhon men jhilmiaya tha
badshahi fakiri hoti hai
aek derwesh ne bataya tha
phool rakha huwa hai kamre men
mere kamre men kaun aya tha
jal raha tha wujud barish men
nagehan shams jagmagaya tha
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
teri dunya tujhe mubarak ho
men to bus dekhne hi aya tha
rat ek tara dor kar bahar
meri khatir zameen pe aya tha
aena jis ne banaya tha
kaun tha kis nagar se aya tha
jis ne pehla dia jalaya tha
haey tasweer ho nahi paya
aks ankhon men jhilmiaya tha
badshahi fakiri hoti hai
aek derwesh ne bataya tha
phool rakha huwa hai kamre men
mere kamre men kaun aya tha
jal raha tha wujud barish men
nagehan shams jagmagaya tha
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
teri dunya tujhe mubarak ho
men to bus dekhne hi aya tha
rat ek tara dor kar bahar
meri khatir zameen pe aya tha