PDA

View Full Version : men gumnam adeeb ka afsana


LAMS
09-03-2010, 08:29 PM
men gumnam adeeb ka afsana
mujhe lene walah koi nahin, mujhe sochne walah koi nahin
tareef kare ga kia koi, mujhe sunne walah koi nahin

men os hath ki aesi kawish hun
jise likhne ka hai shok bohut, han naz hai apni danish par
hai jis men adab ka zok bohut

men khowab hun aesi ankhon ka
jinhe khabt hai kitaben parhne ka aur pure chand ko takne ka
joh roz nazar karti hen
jati shab kay sang shama ki lo kay rang badalne ka
shab ko sahar men dhalne ka, palkon pe neend kay chalne ka

men shahkar hun os likhari ka
joh chalte chalte rahon men
raddi kaghaz kay tukron par
hateli aur kalai par
heeron se giran afkar apne ayat ki tarah tehreer kare
khud khasta hal ho phir bhi magar
os ka pur omid kalam hikmat kay mahal tameer kare
fitrat kay makfi zaron ko danai se taskheer kare
joh mere tere khabon ki tabeeron ko tasweer kare
tum kahna adab shanaso se, qabar parast zamane se
aese gumnam adeebon ki marne se qabal toqeer kare

!~*AdOrAbLe*~!
09-03-2010, 11:18 PM
tareef kare ga kia koi, mujhe sunne walah koi nahin

wah wonderfull awsum sharing
keeptup

LAMS
09-04-2010, 12:42 AM
thx adoo
thx for liking

!«╬Ĵamil Malik╬«!
09-04-2010, 04:33 PM
Very Nice Bro

LAMS
09-04-2010, 08:37 PM
thx alot jamil bro

FarazAli
09-04-2010, 09:47 PM
acha hai LAMS

LAMS
09-04-2010, 11:19 PM
thx faraz

heer
10-04-2010, 02:33 PM
just awsum haani

LAMS
10-04-2010, 07:06 PM
THANK YOU SO MUCH :star:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.