M A H i
08-30-2010, 07:31 PM
Tujhe kaha na tu hamesha se mujhay raygaan sochta hai
woh tu nahiin hai
Jo meri chahat meri mohabbat ki dhoop chhaon ka zaviyah hai
woh tu nahii hai
Teri rafaqat ki chhaon meri hayat bhi qaynaat bhi aur nijaat bhi hai
Magar yeh mujh mein jo shayari ki fizayein humwaar kar raha hai
woh tu nahii hai
Yeh chaar shaamein jo mautbar c fiza mein hum ne guzaar li hain to yeh ghanimat hai
Ab us say aagay jo muntazir ik chiragh asaar raasta hai
woh tu nahii hai
Yeh teri aankhon kay aaeno per jo khawahish jami hui hai woh main nahiin hoon
Jo mere honton pe hurf-e-dua mahino se jal raha hai
woh tu nahii hai
Main manti hoon mere khwabon mein teri khushboo ki chandni bhi kahien kahiein thi
Yeh sheher laiken mere hawalay se jisko tasleem kar raha hai
woh tu nahii hai
Wasl mausam kay khuwab mein thi ya hijar kay be nishaan dukh kay azaab mein hoon
Jo saaya saaya ikhata kar kay dukhon se mujhko nikaalta hai