FurQan
08-24-2010, 04:55 AM
Shab-e-aashiqi mai.n do dil yak jaan kiye hue,
Muddat hui hai yaar ko mehman kiye hue.
Saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj,
Hai pyaas un labon ki pareshaan kiye hue.
Qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
Darya-e-dil main mere toofaan kiye hue.
Aaye nahin hai ab to woh Gham gusaar bhi
Mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye hue
Laakhon hain har shahr main tu ek hi nahin
Husne badr pe dil ko Qurbaan kiye hue.
Mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
Hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye hue
Gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
Raahon main mat padho yun majmaa kiye hue