View Full Version : Meri Pasandeeda Ghazlen
http://img688.imageshack.us/img688/1410/ghazalheader.jpg
bus is hi bat ka to rona hai
hen kahan hum ? kahan pe hona hai
hum ne woh bat hi bhula dali
dil men jis bat ko samona hai
waqt ka johari bata dega
khuwab ghaflat men kitna sona hai
nisf aflas ne dubo dala
nisf selab ne dubona hai
apni bari ka intizar karen
mulk har aek ka khilona hai
pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai
hum ne sahir orh li hijrat
ab yahi orhna bichona hai
Zafina
08-22-2010, 02:10 AM
Excellent ........... :;n1;:
hashar men dil bapa na ho jaey
phir tera samna na ho jaey
is taraf se nazar na phear apni
saz e dil be sada na ho jaey
os ko milti nahi baqa har giz
ishq men jo fana na ho jaey
is qadar tut kar na chaho ose
woh kahin bewafa na ho jaey
wasal ki shab huwa hun jese men
koi be aasra na ho jaey
bat itni khari q karta hai
khalk tujh se khafa na ho jaey
fareb e qurbat e jana ki hi yeh dil nasheeni thi
tere manzar ki khushbu rat kitni bheeni bheeni thi
yeh kis barsat ne tinke bikhere aashiane kay
teri palkon tale warna bari sadah makeeni thi
mere aslub e sadah ki yeh tarz e kahmoshi theri
kay jo too ne kaha such tha mera such be yaqeeni thi
kisi siski ne tora tha jumud e atabar e dil
magar os pe sada e ghuncha e dil bhi yaqeeni thi
bhala lazim hai teri kuj ravi ka bhi bharam rakh lun
yeh wade se behalna to meri khanda jabeeni thi
zubun haali mere atraaf men kuch is tarah pheli
durun e zindage men har taraf har she masheeni thi
waseem is agahi ne to sukun e dil hi cheena hai
meri to bekhodi kay dasht men gosha nasheeni thi
youn tera rang e sukhun yad aya
dasht men jese chaman yad aya
moj phir sahil se na murad gai
phir hamen apna milan yad aya
jub kiya zeb e tun safed libas
jane q hum ko kafan yad aya
hath men hath koi dekha jub
apna be bak sajan yad aya
rat jub thori hawa sard huwi
phir wahi shola badan yad aya
ghar men deewar othai q thi
bad men sub ko sahan yad aya
aj phir chodween ki rat hai na
kuch tumhen jan e man yad aya
men janta hun wahi hen pukarne wale
bula kay ghar men charaghon ko marne wale
raza e yar pe khaahish ko marne wale
ajab sakhi hen mohabat men harne wale
ab apne ap ko bhi aene men dekh zara
mere wujud men herat utarne wale
bus aek isim ka saya bus aek jisim ki dhoop
mere safar ki thakawat utarne wale
dhamal rukne na paey ali qalandar ki
bohut se naksh abhi hen ubharne wale
ek duje ko aena dikhaeyn chalo ao
yeh akhri takleef othaeyn chalo ao
youn hai kay monafe ka to imkan hi nahi
nuqsan ka andaza lagaeyn chalo ao
hen jal to yaron kay bichaey bhi par ab kay
dushman ki chali chal men aeyn chalo ao
muddat se khandar dil ka bhi veeran para hai
kuch deir yaheen khak oraeyn chalo ao
os tak hai safar lakh sarabon se mozaeyan
sahir na kaheen khud se bhi jaeyn chalo ao
kuch itni duur tumhara thikana parta hai
hamen hawa ki tarah roz ana parta hai
saron pe chaon kabhi bheek men nahi milti
badan ko peir ki surat ogana parta hai
yeh raste youn hi paon se te nahi hote
yahan zameen ko sar par othana parta hai
too a kay shab kay andheron ko dekh le khod hi
men kia bataun dia q jalana parta hai
ab aek jisim ko kitna rafu karun ga men
yahan to zakham naya roz khana parta hai
yeh mera ishq meri jan ki zarurat hai
so dushmano ko bhi dil se lagana parta hai
hazar khuwahishen dil men hen is lia gohar
zaruraton se zada kamana parta hai
kub kahan kia mere dildar otha laeyn ge
wasal men bhi dil e bezar otha laeyn ge
chahiey kia tumhen tohfe men bata do warna
hum to bazar kay bazar otha laeyn ge
youn mohabat se na hum khana badoshon ko bula
itne sadah hen kay ghar bar otha laeyn ge
aek misre se zada to nahi bar e wujud
tum pukaro ge to har bar otha laeyn ge
gar kisi jashan e musarat men chale bhi jaeyn
chun kay ansu tere gham khuwar otha laeyn ge
kon sa phool saje ga tere jure men bhala
is shash o punj men gulzar otha laeyn ge
mujh se munsub hai ghubar mera
qafle men na kar shumar mera
har nae sham meri ujrat hai
din bitana hai rozgar mera
yeh teri jagti huwi ankhen
in pe har khaab ho nisar mera
koi ata nahi idher phir bhi
dehan ata hai bar bar tera
rat kay sath sath barhta gaya
in charaghon pe atabar mera
waqt itna kahan tha mere pas
warna karta men intizar tera
neend par meri dastaras kashif
na hi khaabon pe ikhtiar mera
bane hen kam sub uljhun se mere
yahi atwar hen bachpan se mere
hawa bhi puchne ati nahi hai
woh khushbu kia gai angan se mere
zameen hamwar ho kar rah gai hai
ori hai dhool woh daman se mere
suno is dasht ka hamzad hun men
yeh wakif hai akele pan se mere
hawa e be dili bhi khoob nikli
khalish tak le ori jeevan se mere
dua kay saey men susta lia kar
bhale phir asman ko ja lia kar
zamin kay sath rakha kar rawabit
zamane se alag rasta lia kar
sahar kay sham ho jane se pehle
durun ko ishq se mehka lia kar
yeh dunya bargah e ashiqi hai
yaha se jo mile apna lia kar
men to saya hun ghataon se utarne wala
hai koi pyas kay sahra se guzarne wala
too samjhta hai mujhe hurf e mukarar lekin
men sahifa hun tere dil pe utarne wala
too mujhe apni awaaz ka paband na kar
men to naghma hun fazaon men bikharne wala
aey badalte huwe mausam kay gorezan pekar
aks de ja koi ankhon men thaherne wala
ja raha hai tere honton ki tamana le kar
zindage bhar teri awaaz pe marne wala
men hun dewaar pe likha huwa kub se lekin
koi parhta nahi raste se guzarne wala
kash hoti wafa zamane men
par haqiqat kahan fasane men
kia kahen aek adhure qisse ko
lag gai omar q bhulane men
log auqat bhul jate hen
dusron ka mazaq urane men
sochta hun kabhi kabhi youn hi
harj kia tha ose manane men
roz hi sans phool jati hai
zindegani kay naz uthane men
hum pare hen dayar e gheir men youn
jese lashen hon sard khane men
haif bheja gaya hun men sahir
ittifaqan ghalat zamane men
aek zahmat zara uthane se
bun gaya rasta banane se
qabil e deed tha shikari jub
orh gai fakhta nishane se
os kay bus men na tha madawa par
g to halka huwa batane se
aur phir youn huwa kay ek din hum
oth gaey os kay aastane se
khoob ashufta sar hun men bhi sahir
go nahi qais kay gharane se
seena dahak raha ho to kia chup rahe koi
q cheekh cheekh kar na gala cheel le koi
sabit huwa sukun e dil o jan kahin nahin
rishton men dhundta hai to dhunda kare koi
tark e taluqaat koi masla nahi
yeh to woh rasta hai kay bus chal pare koi
deewar janta tha jise men woh dhool thi
ab mujh ko atamad ki dawat na de koi
men khud yeh chahta hun kay halat hon kharab
mere khilaf zahar ogalta phire koi
aey shaks ab to mujh ko sub hi kuch qubul hai
yeh bhi qubul hai kay tujhe cheen le koi
han theek hai men apni ana ka mareez hun
akhir mere mizaj men q dakhal de koi
ek shaks kar raha hai abhi tak wafa ka zikar
kash is zaban daraz ka moo noch le koi
dil e kafir ko musalman kiey jate hen
woh bhala q mera nuqsan kiey jate hen
khud hi bazar se hum ja kay kahreed aey havas
apne jeene ka youn saman kiey jate hen
apni jholi nahi phelate khudaon kay huzur
waqt jesa bhi ho guzran kiey jate hen
aj yeh shahar men kesa hai tamasha barpa
log q chak gireban kiey jate hen
aj kay dor kay bus hum hi wali there shahab
sub ko hum sahib e iman kiey jate hen
~Pr!nCe$s UrOoJ~
08-22-2010, 03:12 AM
http://img688.imageshack.us/img688/1410/ghazalheader.jpg
bus is hi bat ka to rona hai
hen kahan hum ? kahan pe hona hai
hum ne woh bat hi bhula dali
dil men jis bat ko samona hai
waqt ka johari bata dega
khuwab ghaflat men kitna sona hai
nisf aflas ne dubo dala
nisf selab ne dubona hai
apni bari ka intizar karen
mulk har aek ka khilona hai
pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai
hum ne sahir orh li hijrat
ab yahi orhna bichona hai
bohot zabardast :)
Zafina
08-22-2010, 03:12 AM
Great Choice lala ...Buhat Pasand aye sub k sub :)
~Pr!nCe$s UrOoJ~
08-22-2010, 03:13 AM
dil e kafir ko musalman kiey jate hen
woh bhala q mera nuqsan kiey jate hen
khud hi bazar se hum ja kay kahreed aey havas
apne jeene ka youn saman kiey jate hen
apni jholi nahi phelate khudaon kay huzur
waqt jesa bhi ho guzran kiey jate hen
aj yeh shahar men kesa hai tamasha barpa
log q chak gireban kiey jate hen
aj kay dor kay bus hum hi wali there shahab
sub ko hum sahib e iman kiey jate hen
vvvv good
Zafina
08-22-2010, 03:15 AM
mujh se munsub hai ghubar mera
qafle men na kar shumar mera
har nae sham meri ujrat hai
din bitana hai rozgar mera
yeh teri jagti huwi ankhen
in pe har khaab ho nisar mera
koi ata nahi idher phir bhi
dehan ata hai bar bar tera
rat kay sath sath barhta gaya
in charaghon pe atabar mera
waqt itna kahan tha mere pas
warna karta men intizar tera
neend par meri dastaras kashif
na hi khaabon pe ikhtiar mera
This One is Roxing:blush-anim-cl:
~Pr!nCe$s UrOoJ~
08-22-2010, 03:15 AM
sari bohot bohot achi hain vvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvv gooooooooood awsome keep it up :)
thank you so much urooj :)
~ Sanam Khan ~
08-22-2010, 03:32 AM
Xceeeeeeeelllllllllllleeeeeeennnnnnnnnnnnnnttttttt tt !!!~~
All r AwesOme
k33p up the gr8 wOrk
i lyk dem all...
*~FaLaK~*
08-22-2010, 12:22 PM
Bohat Zabardast hain
apne gaon se kat gaya hun men
ab to mitti se at gaya hun men
tujh ko apna safar mobarak ho
tere raste se hat gaya hun men
kitne chahre hen mere chahre par
kitne hisson men bat gaya hun men
too ne kesi panah di mujh ko
apne andar simat gaya hun men
kaun mera dia bujhaey ga
roshni se lipat gaya hun men
-|A|-
08-23-2010, 01:45 AM
http://img688.imageshack.us/img688/1410/ghazalheader.jpg
bus is hi bat ka to rona hai
hen kahan hum ? kahan pe hona hai
hum ne woh bat hi bhula dali
dil men jis bat ko samona hai
waqt ka johari bata dega
khuwab ghaflat men kitna sona hai
nisf aflas ne dubo dala
nisf selab ne dubona hai
apni bari ka intizar karen
mulk har aek ka khilona hai
pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai
hum ne sahir orh li hijrat
ab yahi orhna bichona hai
zabardast hai ..!!:660z6zk:
thank you so much bro :102::;kiss:
har sham dilati hai ose yad hamari
itni to hawa karti hai imdad hamari
kuch hen bhi agar hum to giriftar hen apne
zanjeer nazar ati hai azad hamari
yeh shahar nazar ata hai hum zad hamara
aur gard nazar ati hai faryad hamari
yeh rah bata sakti hai hum kon hen kia hen
yeh dhool suna sakti hai rudad hamari
hum gosha nasheeno se hai manus kuch aesi
jese kay yeh tanhai ho aulad hamari
acha hai kay deewar kay saey se rahen duur
par jaey na deewar pe oftad hamari
Noor ul huda
08-23-2010, 08:27 AM
Saari aik hi waqt May day dii.. (nope) :what: .. Abhi sirf pehli parhi hay,.,, lolz
Good one..
(pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai) :zabardast:
thx alot siddiqa
wese ap sari read ker len
achi se achi hi mile gi dear
parhen aur fesla karen :88:
FurQan
08-24-2010, 03:39 AM
Buhat Ahien hain sub ...Bas bro kuch typing mistakes hain :)
-|A|-
08-24-2010, 11:10 PM
har sham dilati hai ose yad hamari
itni to hawa karti hai imdad hamari
kuch hen bhi agar hum to giriftar hen apne
zanjeer nazar ati hai azad hamari
yeh shahar nazar ata hai hum zad hamara
aur gard nazar ati hai faryad hamari
yeh rah bata sakti hai hum kon hen kia hen
yeh dhool suna sakti hai rudad hamari
hum gosha nasheeno se hai manus kuch aesi
jese kay yeh tanhai ho aulad hamari
acha hai kay deewar kay saey se rahen duur
par jaey na deewar pe oftad hamari
buhaat achi hai yaar .. EXCELLENT
dunya ki bat chor mohabat ki bat kar
hum se hamari apni zarurat ki bat kar
yeh nakal makani hamen wirse men mili hai
mal o manal rehne de hijrat ki bat kar
hum se na puch sare zamane ki mushkilen
hum par guzarne wali qayamat ki bat kar
phir qol ka tazad numaya hai fail men
afsane par na tal haqiqat ki bat kar
Noor ul huda
08-25-2010, 09:39 AM
har sham dilati hai ose yad hamari
itni to hawa karti hai imdad hamari
kuch hen bhi agar hum to giriftar hen apne
zanjeer nazar ati hai azad hamari
yeh shahar nazar ata hai hum zad hamara
aur gard nazar ati hai faryad hamari
yeh rah bata sakti hai hum kon hen kia hen
yeh dhool suna sakti hai rudad hamari
hum gosha nasheeno se hai manus kuch aesi
jese kay yeh tanhai ho aulad hamari
acha hai kay deewar kay saey se rahen duur
par jaey na deewar pe oftad hamari
Sad..............But Good !!
Noor ul huda
08-25-2010, 10:26 AM
Kiya iss thread may ham Bhi Apni fav Ghazlain share ker sakty hain ?? :0026:
LAMS
Lash k bamboooooo
4 kanat 8 tamboooooooo :i love you2:
thx alot siddiqa
siddiqa nahin ap apni favorite poetry kay lia aek new thread bana len
yahan share nahin karen :88:
thx alot lala :11ap3sj:
Bhatti
08-25-2010, 06:26 PM
very good
FurQan
08-25-2010, 06:37 PM
Brilliant Chioce
thx alot bhatti
thx alot furqan
ahmad faraz ki zamin men likhi aek ghazal
malul kar hamen itna malul kar jana
kay tujh ko yad karen khud ko bhul kar jana
mata e hasti lia agia hun dar pe tere
ab to kuch dard ka mujh pe nuzul kar jana
mujhe to teri tamana pehan kay jeena hai
meri yeh arz e tamana qubul kar jana
badan bana de mera too ghubar ki surat
too mujh ko apne peiron ki dhul kar jana
aseer e zulf to neelam ho gia khush khush
akar ab dard ki qimat wusul kar jana
khizan chehra hai sahir ka perahan kante
too is kay barhami lahje ko phool kar jana
-|A|-
08-26-2010, 08:28 PM
buhaat alaa yaar maza agaya ...
thx alot bro
yaar Awsum
sab mairi Fav hain. angry
hal pucha na kare hath milaya na kare
men isi dhoop men khush hun koi saya na kare
men bhi akhir hun isi dasht ka rehne wala
kese mujnu se kahun khak oraya na kare
aena mere shab o roz se wakif hi nahin
kaun hun, kia hun ? mujhe yad dilaya na kare
aen mumkin hai chali jaey sama at meri
dil se kahiey kay bohut shor machaya na kare
mujh se raston ka bicharna nahi dekha jata
mujh se milne woh kisi mor pe aya na kare
http://img688.imageshack.us/img688/1410/ghazalheader.jpg
bus is hi bat ka to rona hai
hen kahan hum ? kahan pe hona hai
hum ne woh bat hi bhula dali
dil men jis bat ko samona hai
waqt ka johari bata dega
khuwab ghaflat men kitna sona hai
nisf aflas ne dubo dala
nisf selab ne dubona hai
apni bari ka intizar karen
mulk har aek ka khilona hai
pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai
hum ne sahir orh li hijrat
ab yahi orhna bichona hai
just awsum
ek duje ko aena dikhaeyn chalo ao
yeh akhri takleef othaeyn chalo ao
youn hai kay monafe ka to imkan hi nahi
nuqsan ka andaza lagaeyn chalo ao
hen jal to yaron kay bichaey bhi par ab kay
dushman ki chali chal men aeyn chalo ao
muddat se khandar dil ka bhi veeran para hai
kuch deir yaheen khak oraeyn chalo ao
os tak hai safar lakh sarabon se mozaeyan
sahir na kaheen khud se bhi jaeyn chalo ao
bohot khoob
kub kahan kia mere dildar otha laeyn ge
wasal men bhi dil e bezar otha laeyn ge
chahiey kia tumhen tohfe men bata do warna
hum to bazar kay bazar otha laeyn ge
youn mohabat se na hum khana badoshon ko bula
itne sadah hen kay ghar bar otha laeyn ge
aek misre se zada to nahi bar e wujud
tum pukaro ge to har bar otha laeyn ge
gar kisi jashan e musarat men chale bhi jaeyn
chun kay ansu tere gham khuwar otha laeyn ge
kon sa phool saje ga tere jure men bhala
is shash o punj men gulzar otha laeyn ge
bohot umda
bane hen kam sub uljhun se mere
yahi atwar hen bachpan se mere
hawa bhi puchne ati nahi hai
woh khushbu kia gai angan se mere
zameen hamwar ho kar rah gai hai
ori hai dhool woh daman se mere
suno is dasht ka hamzad hun men
yeh wakif hai akele pan se mere
hawa e be dili bhi khoob nikli
khalish tak le ori jeevan se mere
greattttttttt
dua kay saey men susta lia kar
bhale phir asman ko ja lia kar
zamin kay sath rakha kar rawabit
zamane se alag rasta lia kar
sahar kay sham ho jane se pehle
durun ko ishq se mehka lia kar
yeh dunya bargah e ashiqi hai
yaha se jo mile apna lia kar
bohot khoob maza aa gaya
men to saya hun ghataon se utarne wala
hai koi pyas kay sahra se guzarne wala
too samjhta hai mujhe hurf e mukarar lekin
men sahifa hun tere dil pe utarne wala
too mujhe apni awaaz ka paband na kar
men to naghma hun fazaon men bikharne wala
aey badalte huwe mausam kay gorezan pekar
aks de ja koi ankhon men thaherne wala
ja raha hai tere honton ki tamana le kar
zindage bhar teri awaaz pe marne wala
men hun dewaar pe likha huwa kub se lekin
koi parhta nahi raste se guzarne wala
lajawab ker dia
aek zahmat zara uthane se
bun gaya rasta banane se
qabil e deed tha shikari jub
orh gai fakhta nishane se
os kay bus men na tha madawa par
g to halka huwa batane se
aur phir youn huwa kay ek din hum
oth gaey os kay aastane se
khoob ashufta sar hun men bhi sahir
go nahi qais kay gharane se
bohot umdaaaaa
seena dahak raha ho to kia chup rahe koi
q cheekh cheekh kar na gala cheel le koi
sabit huwa sukun e dil o jan kahin nahin
rishton men dhundta hai to dhunda kare koi
tark e taluqaat koi masla nahi
yeh to woh rasta hai kay bus chal pare koi
deewar janta tha jise men woh dhool thi
ab mujh ko atamad ki dawat na de koi
men khud yeh chahta hun kay halat hon kharab
mere khilaf zahar ogalta phire koi
aey shaks ab to mujh ko sub hi kuch qubul hai
yeh bhi qubul hai kay tujhe cheen le koi
han theek hai men apni ana ka mareez hun
akhir mere mizaj men q dakhal de koi
ek shaks kar raha hai abhi tak wafa ka zikar
kash is zaban daraz ka moo noch le koi
alfaz nahi hain is ki tareef kerny k lia
bohot hi umdaaaaaaaaaaaa
har sham dilati hai ose yad hamari
itni to hawa karti hai imdad hamari
kuch hen bhi agar hum to giriftar hen apne
zanjeer nazar ati hai azad hamari
yeh shahar nazar ata hai hum zad hamara
aur gard nazar ati hai faryad hamari
yeh rah bata sakti hai hum kon hen kia hen
yeh dhool suna sakti hai rudad hamari
hum gosha nasheeno se hai manus kuch aesi
jese kay yeh tanhai ho aulad hamari
acha hai kay deewar kay saey se rahen duur
par jaey na deewar pe oftad hamari
waqai bohot hi zaberdast collection hai aap ki
thnx for shearing
ahmad faraz ki zamin men likhi aek ghazal
malul kar hamen itna malul kar jana
kay tujh ko yad karen khud ko bhul kar jana
mata e hasti lia agia hun dar pe tere
ab to kuch dard ka mujh pe nuzul kar jana
mujhe to teri tamana pehan kay jeena hai
meri yeh arz e tamana qubul kar jana
badan bana de mera too ghubar ki surat
too mujh ko apne peiron ki dhul kar jana
aseer e zulf to neelam ho gia khush khush
akar ab dard ki qimat wusul kar jana
khizan chehra hai sahir ka perahan kante
too is kay barhami lahje ko phool kar jana
bohot hi khubsoorat
hal pucha na kare hath milaya na kare
men isi dhoop men khush hun koi saya na kare
men bhi akhir hun isi dasht ka rehne wala
kese mujnu se kahun khak oraya na kare
aena mere shab o roz se wakif hi nahin
kaun hun, kia hun ? mujhe yad dilaya na kare
aen mumkin hai chali jaey sama at meri
dil se kahiey kay bohut shor machaya na kare
mujh se raston ka bicharna nahi dekha jata
mujh se milne woh kisi mor pe aya na kare
aik sy barh kar aik hain ghazals
bohot hi kamal ki hain sab
keep shearing
-|A|-
08-28-2010, 07:51 PM
http://img688.imageshack.us/img688/1410/ghazalheader.jpg
bus is hi bat ka to rona hai
hen kahan hum ? kahan pe hona hai
hum ne woh bat hi bhula dali
dil men jis bat ko samona hai
waqt ka johari bata dega
khuwab ghaflat men kitna sona hai
nisf aflas ne dubo dala
nisf selab ne dubona hai
apni bari ka intizar karen
mulk har aek ka khilona hai
pehle nafrat kay jangalon ko kaat
gar mohabat ka beech bona hai
hum ne sahir orh li hijrat
ab yahi orhna bichona hai
Best ine yaar :) :giveheartmw4:
http://img440.imageshack.us/img440/6224/25443650.jpg
http://img409.imageshack.us/img409/610/29166480.jpg
http://img832.imageshack.us/img832/2483/78423046.jpg
kis khata par bhapar gaya pani
apni had se mukar gaya pani
jis ki deewar thi zara kach chi
pehle os kay hi ghar gaya pani
hosh men ao ya nahi ao
ab to sir se guzar gaya pani
hai yeh selan on pe khanda zan
jin ki ankhon ka mar gaya pani
dekhi her aek she joh malya mate
khof se khud bhi dar gaya pani
apni rahon se ho gaya munkir
shahar dar shahar bhar gaya pani
ap demon ka sochte rahiey
kam to apna kar gaya pani
aek bache ko dubte dekha
kitni aknhon men bhar gaya pani
ap kay paun tak nahi aya
mere sir se guzar gaya pani
likh kay barbadiyan muqadar men
ab suna hai otar gaya pani
-|A|-
08-30-2010, 08:08 PM
http://img440.imageshack.us/img440/6224/25443650.jpg
http://img409.imageshack.us/img409/610/29166480.jpg
http://img832.imageshack.us/img832/2483/78423046.jpg
kis khata par bhapar gaya pani
apni had se mukar gaya pani
jis ki deewar thi zara kach chi
pehle os kay hi ghar gaya pani
hosh men ao ya nahi ao
ab to sir se guzar gaya pani
hai yeh selan on pe khanda zan
jin ki ankhon ka mar gaya pani
dekhi her aek she joh malya mate
khof se khud bhi dar gaya pani
apni rahon se ho gaya munkir
shahar dar shahar bhar gaya pani
ap demon ka sochte rahiey
kam to apna kar gaya pani
aek bache ko dubte dekha
kitni aknhon men bhar gaya pani
ap kay paun tak nahi aya
mere sir se guzar gaya pani
likh kay barbadiyan muqadar men
ab suna hai otar gaya pani
LALA ...
yaar dil jeet liye tu nay .. awesome pic with perfect poem .. !!
Fatima Javaid
08-31-2010, 03:39 AM
V NICE LAM :p
superbbbbbbbbbb
thx alottttttttttttttttt
yeh kis ne kaha hai sahar ka payam zindage
sobha e hijir mout hai to sham zindage
makhmur nigah naz o ada aur lub hasin
pyare isi fasad ka hai nam zindage
nakam hi sahi magar budnam to na kar
ab chor hamen kar apna kam zindage
kal khod koshi ne dhar lia tha ek gharib ko
sunte hen os pe aaid tha ilzam zindage
logon ne nam jabar ka nasib rakh dia
p too bhi in ki be basi ka jam zindage
yeh khabar na thi kay too bhi chor jaey gi
rakha tha kitni chah se tera nam zindage
sahir tamam omar joh mera na ho saka
kar di osi kay nam phir tamam zindage
M A H i
09-04-2010, 02:37 PM
very nice collection LAMS
keep Sharing
!~*AdOrAbLe*~!
09-04-2010, 08:26 PM
wowz mashallah wat a great beautifull collection zabardast gazal'z
keeptup :goodpost:
-|A|-
09-04-2010, 11:46 PM
yeh kis ne kaha hai sahar ka payam zindage
sobha e hijir mout hai to sham zindage
makhmur nigah naz o ada aur lub hasin
pyare isi fasad ka hai nam zindage
nakam hi sahi magar budnam to na kar
ab chor hamen kar apna kam zindage
kal khod koshi ne dhar lia tha ek gharib ko
sunte hen os pe aaid tha ilzam zindage
logon ne nam jabar ka nasib rakh dia
p too bhi in ki be basi ka jam zindage
yeh khabar na thi kay too bhi chor jaey gi
rakha tha kitni chah se tera nam zindage
sahir tamam omar joh mera na ho saka
kar di osi kay nam phir tamam zindage
nakam hi sahi magar budnam to na kar
ab chor hamen kar apna kam zindage
yaar yea best line lagi mujhey .. baqi pori ghazal buhaat pyaari hai :)
os ko apna khayal aya tha
aena jis ne banaya tha
kaun tha kis nagar se aya tha
jis ne pehla dia jalaya tha
haey tasweer ho nahi paya
aks ankhon men jhilmiaya tha
badshahi fakiri hoti hai
aek derwesh ne bataya tha
phool rakha huwa hai kamre men
mere kamre men kaun aya tha
jal raha tha wujud barish men
nagehan shams jagmagaya tha
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
teri dunya tujhe mubarak ho
men to bus dekhne hi aya tha
rat ek tara dor kar bahar
meri khatir zameen pe aya tha
-|A|-
09-06-2010, 12:12 AM
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
ZABARDAST lines hai yaar :)
mujhe bhi yeh sheir sub se zada pasand hai bro
is ghazal ka
anyway thx alot
!~*AdOrAbLe*~!
09-06-2010, 06:23 AM
wah wah mashallah zabardast hain juz lov it :2191un:
keep sharin
!~*AdOrAbLe*~!
09-06-2010, 07:05 AM
alws welcome
waiting for next ghazal'z :rollbaby:
!«╬Ĵamil Malik╬«!
09-06-2010, 07:49 PM
Great Collection Janu :withrose:
tamam shahar ko heran karne wala hun
men apne hone ka elan karne wala hun
abhi woh mor nahi aya is kahani men
jaha men sub ko pareshan karne wala hun
kahin gira kay teri yad ka yeh koh e giran
safar ko aur bhi asan karne wala hun
yeh silsila meri ankhon pe hi nahi moquf
men tera shahar bhi weeran karne wala hun
yeh kis ne rat mujhe neend se jaga kay kaha
charagh e khuwab tujhe dan karne wala hun
tamam omar kaha hai woh meri kismat men
bus aek rat ka mehman karne wala hun
Lab pe pabandi to hai ' ehsas per pehra to hai
Phir bhi ehl e dil ko ehwal e bashar kehna to hai
buhat Aa'la LAMS :zabardast:
thank you so much lala :660z6zk:
yeh kis ne kaha hai sahar ka payam zindage
sobha e hijir mout hai to sham zindage
makhmur nigah naz o ada aur lub hasin
pyare isi fasad ka hai nam zindage
nakam hi sahi magar budnam to na kar
ab chor hamen kar apna kam zindage
kal khod koshi ne dhar lia tha ek gharib ko
sunte hen os pe aaid tha ilzam zindage
logon ne nam jabar ka nasib rakh dia
p too bhi in ki be basi ka jam zindage
yeh khabar na thi kay too bhi chor jaey gi
rakha tha kitni chah se tera nam zindage
sahir tamam omar joh mera na ho saka
kar di osi kay nam phir tamam zindage
zabardast
sahir tamam omar joh mera na ho saka
kar di osi kay nam phir tamam zindage
thnx for shearing
yeh kis ne kaha hai sahar ka payam zindage
sobha e hijir mout hai to sham zindage
makhmur nigah naz o ada aur lub hasin
pyare isi fasad ka hai nam zindage
nakam hi sahi magar budnam to na kar
ab chor hamen kar apna kam zindage
kal khod koshi ne dhar lia tha ek gharib ko
sunte hen os pe aaid tha ilzam zindage
logon ne nam jabar ka nasib rakh dia
p too bhi in ki be basi ka jam zindage
yeh khabar na thi kay too bhi chor jaey gi
rakha tha kitni chah se tera nam zindage
sahir tamam omar joh mera na ho saka
kar di osi kay nam phir tamam zindage
awsum poetry lams
thnx for shearing
os ko apna khayal aya tha
aena jis ne banaya tha
kaun tha kis nagar se aya tha
jis ne pehla dia jalaya tha
haey tasweer ho nahi paya
aks ankhon men jhilmiaya tha
badshahi fakiri hoti hai
aek derwesh ne bataya tha
phool rakha huwa hai kamre men
mere kamre men kaun aya tha
jal raha tha wujud barish men
nagehan shams jagmagaya tha
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
teri dunya tujhe mubarak ho
men to bus dekhne hi aya tha
rat ek tara dor kar bahar
meri khatir zameen pe aya tha
bohot hi aala
is shar ka jawab nahi
men ne koore kay dheir se kaghaz
nam parh kar tera othaya tha
bohot khoob
tamam shahar ko heran karne wala hun
men apne hone ka elan karne wala hun
abhi woh mor nahi aya is kahani men
jaha men sub ko pareshan karne wala hun
kahin gira kay teri yad ka yeh koh e giran
safar ko aur bhi asan karne wala hun
yeh silsila meri ankhon pe hi nahi moquf
men tera shahar bhi weeran karne wala hun
yeh kis ne rat mujhe neend se jaga kay kaha
charagh e khuwab tujhe dan karne wala hun
tamam omar kaha hai woh meri kismat men
bus aek rat ka mehman karne wala hun
heran to aap kerty he rehty hain
itni zabardast poetry share ker ker k
jawab nahi hai aap ki collection ka
is collection mei kuch kuch tehreeren aap ki bhi hain na ?
sach mei bohot acha likhty hain aap
thnx for shearing
we8ing 4 ur neo article
thank you so much heer
next artile jaldi post karun ga inshallah
kaun hai apna kaun paraya itna bhi ab yad nahin
men ne kia khoya kia paya itna bhi ab yad nahin
rat kay gehre sannate men weerani kay zeene par
kis ne akhir deep jalaya itna bhi ab yad nahin
abar chata toh jane kesa khof tha geeli shakhon par
chiryon ne q shor machaya itna bhi ab yad nahin
too ne kitne dard samete mera sath nibhane men
men ne kitna bojh othaya itna bhi ab yad nahin
-|A|-
09-09-2010, 08:39 PM
Bhai jaan awesome hai :)
Khwahish
09-14-2010, 02:08 AM
Superb sharing..
thank you so much khwahish
Furat e dard ne jal thal kia howa hai mujhe
Tumhare hijir ne be kal kia howa hai mujhe
Oge hen weham mere dil men jhariyon ki tarah
Teri khamoshi ne jangal kia howa hai mujhe
Yeh kis ki sans ki khushbu rachi hai sanson men
Yeh kis kay qurb ne sandal kia howa hai mujhe
Makam adha hai os ka mere makam se par
Os adhe ne hi mukamal kia howa hai mujhe
Yeh kis nigah kay zer e asar hun men jis ne
Meri hi ankh se ojhal kia howa hai mujhe
Rakha howa hai mujhe ansuon ki thokar par
Bazahir ankh ka kajal kia howa hai mujhe
Sub apni apni taraf kheenchte hen mujh ko sahir
Mere azizon ne kambal kia howa hai mujhe
-|A|-
09-15-2010, 12:16 AM
Buhaat he achi GHAZAL hai yaar ..
Sub apni apni taraf kheenchte hen mujh ko sahir
Mere azizon ne kambal kia howa hai mujhe
Gud one
!~*AdOrAbLe*~!
09-16-2010, 04:10 AM
bohut umdha
keeptup
thank you so much adooo :0017:
Noor ul huda
09-17-2010, 11:48 AM
Rakha howa hai mujhe ansuon ki thokar par
Bazahir ankh ka kajal kia howa hai mujhe
This One Is So Nice !!
youn to kabhi kisi pe ejara nahin raha
bus yeh howa kay woh bhi hamara nahin raha
hai bandage kay os se dua mangta rahun
aesa nahin kay zabt ka yara nahin raha
ehad e hayat kay liey kafi hai tera gham
aesa na sochna kay sahara nahin raha
ek dusre se bat hi hans kar kia Karen
itna bhi ab kisi ko gawara nahin raha
hona tha aek din so howa dil ka tutna
kia kijiey kay ab koi chara nahin raha
hum ko hi pyar men tha bohut dubne ka shoq
kismet se kia gila kay kinara nahin raha
ab too bhi dub ja kay subha ho chali sahir
baki falak pe koi sitara nahin raha
-|A|-
09-19-2010, 05:46 PM
Superb hai yaar BRO ..
teri meri mohabat ki bus itni si kahani hai
mujhe maqtal ko jana hai tujhe shohrat kamani hai
judai ki her ek sa'at azyat nak hai lekin
mujhe hi yad rakhni hai tujhe to bhul jani hai
tere kanon se takra kar hawaeyn gungunaeyn gi
mujhe ek dastan aesi faza men chor jani hai
woh jis se bad guman hai dil woh jis ne dard bante hen
os hi ko parsa likhun yeh kesi bad gumani hai
zamane kay alam sare men hans kay tal dun sahir
os hi ne kuch kaha hai na jub hi ankhon men pani hai
-|A|-
09-24-2010, 01:44 AM
WAH yaar buhaat awesome hai jani ..
thank you so much bro :0017:
itna sukhan men bekal hona parta hai
apne ap se ojhal hona parta hai
jub khamoshi baa mane ho jaey to
lafzon ko phir mahmal hona parta hai
haste baste shahron men rehne walon
akhir akhir jangal hona parta hai
din ko bhi sooraj ki aag men jal jal kar
sham ki ankh ka kajal hona parta hai
dil men her khuwahish ko zinda rakhta hun
baz auqaat to maqtal hona parta hai
sahir ajub hota hai sahar bulandi ka
pani ko bhi badal hona parta hai
FarazAli
09-28-2010, 08:13 PM
nice sharing
samandaron se mujhe na shanas rehne de
too apni pyas bujha meri pyas rehne de
kabhi kabhi to khuhsi koe hath ati hai
shahar udas hai to kia udas rehne de
men janta hun subhi khowab such nahin hote
bandhi howi hai jo mudat se aas rehne de
abhi na jhank too ghar kay kisi dariche se
abhi charaghon kay hosh o hawas rehne de
bus itna mujh pe karam kar kay samne mere
sharab ho na ho saqi glass rehne de
kisi kay bus men nahin hai naseeb ka likha
yeh dukh hen mere so mere he pas rehne de
abhi bahar kisi aur simt hai sahir
abhi khiza ko yaha be libas rehne de
-|A|-
10-01-2010, 12:38 AM
wondrfull !!
FurQan
10-01-2010, 10:40 AM
SahiR Brother Ur Choice is Awesome :)
ahad e jadeed hai sahir lahja jadeed kar
bunjar zamin se nit nae ghazlen kasheed kar
rakh kar charagh samne sochon men gum na ho
ankhon men os ka aqs la takmil e deed kar
chup rah kay aur barti hai andar ki khamoshi
koi nahin to khud se he guft o shaneed kar
who jo hudud e wakt se aage nikal gaya
too os ko dhundne ki na koshish mazeed kar
mulk e sokhan ki devian be mol ho gaen
shaer bane hen log yahan ghazlen khareed kar
orti hai sahir duur talak afsudgi ki reit
ja ab dayar e gheir men chup kay se eid kar
-|A|-
10-04-2010, 12:37 AM
zabardast
THANK YOU SO MUCH :icecream:
FarazAli
10-04-2010, 08:14 PM
nice sharing
*~FaLaK~*
10-06-2010, 07:42 PM
bht zabardast
heer :calin-together: omg
Kismet ki aek chal ne patthar bana dia
Mujh ko mere zawal ne patthar bana dia
Mangi gae thi zindage se zindage ki bheek
Sail kay ek sawal ne patthar bana dia
Yadon ki aek lahar ne sakta sa kar dia
Dil ko kisi khayal ne patthar bana dia
San do hazar das ka pucho na doston
Mujh ko is aek sal ne patthar bana dia
Jis shahr e bemisal men buth hai mera gara
Os shahar e bemisal ne patthar bana dia
Marne ka khauf to na tha sahir mujhe magar
Marne kay ahtamal ne patthar bana dia
sar hi ab phoriey nidamat men
neend ane lagi hai forqat men
hen daleelen tere khalaf magar
sochta hun teri himayat men
ruh ne ishq ka fareb dia
jisim ka jisim ki adawat men
ab fakat adaton ki warzish hai
ruh shamil nahin shikayat men
ishq ko darmian na lao kay men
cheekhta hun badan ki esrat men
yeh kuch asan toh nahin hai kay hum
ruthte ab bhi hen morawat men
who joh tamer hone wali thi
lug gae aag os emarat men
apne hojre ka kia bayan kay yahan
khoon thuka gaya shararat men
who khala hai kay sochta hun men
os se kia guftugu ho khilwat men
zindage kis tarah basar hogi
dil nahin lug raha mohabat men
Morash
10-25-2010, 04:03 PM
SuperbBB ...!!
maliksaim
10-29-2010, 05:29 PM
nice sharing
is tarah teri talab dil men basa li hum ne
tujh ko paya na magar omar gawa li hum ne
tere wadon kay sahare to zinda hen abhi
maut to warna kae bar he tali hum ne
teri dunya se to bohut duur nikal aey hen
teri hasrat na magar dil se nikali hum ne
samne sub kay meri jan bhala q rote
apni ankhon ko yeh adat nahin dali hum ne
mil rahi hen mohabat men kesi sazaeyn sahir
jese jannat se koi cheez chura li hum ne
Yeh jub se mohabat jawan ho gae hai
To dilchasp har ek dastan ho gae hai
Ghamon laut jao kisi aur janib
Khushi ab meri razdan ho gae hai
Sitaron ko chuna bhi lagta hai mumkin
Meri rah ab kahkashan ho gae hai
Howi phir se sar sabz meri yeh dharti
Who chahat ka ab asman ho gae hai
Meri zindage men sahir lauti hen khushian
Gulon sa mahakta jahan ho gae hai
Jub kari se kari nahin milti
Wajah e afsurdgi nahin milti
Pehle purkaryan na milti thin
Aur ab sadgi nahin milti
Husun men ishq dhundne walon
Dhoop men chandni nahin milti
Agahi ki talab na ho jub tak
Tub talak agahi nahin milti
Tum gaey ho to mere kamre men
Shey jagah par koi nahin milti
Khuwab jese shahar ka dekha tha
Wesi koi gali nahin milti
Kia kahun daur hi kuch aesa hai
Chain ki ek ghari nahin milti
Nit naey tajurbe na hon to sahir
Soch ko tazgi nahin milti
-|A|-
11-05-2010, 06:59 PM
i like iit
maliksaim
11-06-2010, 09:48 AM
Thanks for sharing the ghazal of sahir ledyanvi
:O
sahir ludhyanvi ki kaun c ghazal hai bhae ???
Shomaila
11-06-2010, 05:27 PM
brilliant ghazal
s_sableo
11-07-2010, 02:46 AM
zabrdast yaar zabrdast
Koi bujhta howa manzar nahin dekha jata
Ab kisi ankh ko patthar nahin dekha jata
Who hamara na sahe aur kabile ka sahe
Hum se paspa koi lashkar nahin dekha jata
Kia yeh such hai kay tere aena khane men mujhe
Meri qamat kay barabar nahin dekha jata
Who na lauta to ose laut kay ana bhi na tha
Youn bhi ek khuwab mukarar nahin dekha jata
Mujh ko pana hai to phir mujh men otar kar dekho
Youn kinare se samandar nahin dekha jata
Koi aseb mere shahar men aesa bhi hai
Jis se abad koi ghar nahin dekha jata
Os ki sarkar men sar rakh kay jo roya hota
Aek lamha he sahe chain se soya hota
Dagh e hasrat hai jo seene men liey phirta hun
Kash who ashq e nadamat he se dhoya hota
Fasl e mugmoom kay ogne ki agar hoti khabar
Kheti e wasal men q hijir ko boya hota
Zabt e gham rog bana jis ka nahin koi elaj
Is se behter tha kay dil khol kay roya hota
Sahiri ankh ki ajati agar raas mujhe
Dasht e pindar men har ashq bhi khoya hota
Shomaila
11-13-2010, 08:23 AM
Very very impressive poet . i really really like this. Believe me.
Shomaila
11-13-2010, 10:21 AM
Keep on sharing .
thank you so much shomaila :0017:
RoOZ SoOChTa HouN
11-14-2010, 03:27 AM
Bahat ala .. Khobsuraat choice
-|A|-
11-14-2010, 05:18 PM
Where is New Post LALA
munazza
11-15-2010, 11:35 AM
nice and awesome
RoOZ SoOChTa HouN
11-16-2010, 08:31 PM
Wah Je Wah ... TFS
life2
11-18-2010, 11:12 PM
sooper..
thx asad lala
thx roz lala
thx life
Asad lala new post jald he karonga
abhi shadi chall rahi hai
life2
12-22-2010, 06:52 AM
nyc...
semab
01-19-2011, 09:22 AM
like this so thanks...
happy123
02-11-2011, 02:24 PM
nice sharing
shakhiraa33
03-03-2011, 08:00 PM
superb....
Alishbah83
03-15-2011, 08:16 AM
Dil yun dhrka k preshan hoa ho jaisy
koi bay-dhiani main nuksan hoa ho jaisy
rukh bdlta hn to sheh rag main chubhan hoti hai
Ishq bhi jung ka maidan hoa ho jaisy
tham kr haath mera aisa woh roya "Mohsin"
koi kafir sy musliman hoa ho jaisy
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.