DiE
08-20-2010, 05:42 AM
Tum bhi khafa ho loog bhi barham hain dostoo
ab ho chala yaqeen kai burey hum hain dostoo
kis ko hamare haal se nisbat hai kia kahain
ankhain to dushmanoo ki bhi purnam hain dostoo
apney siwa hamare na hone ka ghum kisey
apni talash mai tu hami hum hain dostoo
kuch aaj shaam hi se hai dil bujha bujha
kuch shehar kai chiragh bhi maddham hain dostoo
is shehar e arzoo se bhi bahar nikal chaloo
ab dil ki ronaqain bhi koi dam hain dostoo
sab kuch sahi Faraz par itna zaroor hai
dunya mai ese loog buhat kam hain dostoo